China me Bina Pero Wali Basketball Girl Legless ki Inspirational Story in Hindi

Dosto maine suna hai ki sapne duniya ki woh cheej hai jo namumkin ko bhi mumkin kar deti hai,insan ke sapne duniya ki sabse badi shakti hai,agar hamare sapne hai toh ham pakka unhe poore kar sakte hai,par shart ye hai ki woh sapne soti huyi aankho se dekhne wale nahi balki jagti huyi aankho se dekhne wale hone chahiye,aaj jis ladki ke bare me mai aapko batane wala hu,uske bare me jankar yakinan aap bhi yakin karne lagoge ki agar sapno me jaan ho toh woh bhi kiya jaa sakta hai jiske bare me koi soch bhi naa sake toh chaliye padte hai china ki basketball girl ki inspirational story

China me Bina Pero Wali Basketball Girl ki Inspirational Story in Hindi 

china me rehne wali keeyan hongyan aaj esi jeeti jaagti udaharn hai ki jisne duniya me saabit kar diya ki ek bina pero wali bachchi bhi sapna dekh sakti hai,unhe shuru se basket baal khelne ka bada shok tha,woh baasket baal khel ki vijaita banna chahti thi lekin 2000 me unka car se accident ho gaya aur unke dono per poori tarah se toot gaye.had toh tab ho gayi jab per tootne ke baad bhi woh baasket baal khelti hai,unhone dono haatho se baasket ball khelne ki koshish ki,woh dono haatho se baasket baal khelti hai,china me ye khabar media me bhi bahut jyada chhayi rahi.

woh 20 saal ki umra me world class swimmer bhi hai.woh chin me basket baal girl ke naam se famous ho gayi hai,phir unhone ek research center me prosthetic per lagvaye hai,aur unhone phir se baasket baal khelna shuru kar diya hai toh dekha aapne kese ek ladki zindgi me apne sapne ko poora karna chahti hai,uske dono per nahi hai phir bhi woh baasket baal khelna chahti hai.hame kabhi bhi apni life me haar nahi maanni chahiye aur hamesha apne sapno ko poora karne ke liye koshish karte rahna chahiye.

Agar aapko hamari ye post pasand aayi ho toh ise share jarur kare aur hamara facebook page like karna naa bhoole.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *