Security Guard “True Inspirational Story in Hindi”
True Inspirational Story in Hindi
Dosto hamare ye post “True Inspirational Story in Hindi” aapki zindgi me ek bahut bada badlav laa sakti hain,kahte hai ki jeevan me chhote chhote kaam bhi kaafi mehtvpurna bhoomika nibhati hain,aap jo bhi karte hai uska poora poora prbhaav aapke future par padta hai,aapke dwara kiye gaye karyo ke hisaab se hi aapka future nirdhaarit hota hai,kuchh log meri baato par yakin kar rahe honge lekin kuchh log aise bhi hote hain jo ye nahi mante hai toh dosto aaj ham laaye hain Security Guard “True Inspirational Story in Hindi”ek aisi story jo aapki soch change karke rakh degi toh chaliye ye life changing story ko padte hain.
Ek aadmi freezer plant me kaam karta tha,woh daily subah se sham tak work karta tha,woh apni life me kaafi khush tha,lekin ek din jo uske sath huya usse uski life me hi nahi balki hamri me bhi bahut bada changes laa diya.
Ek din freezer plant me kuchh technical problem ho gayi toh woh us problem ko solve karne ki koshish karne laga aur usko time ka pata bhi nahi chala,kuchh time baad usne dekha ki light band ho chuki hain,darbaja bhi band ho chukka hai,us plant ke andar hava bhi theek se prvaahit nahi ho rahi thee aur pani ki koi bhi vyavstha nahi thi,bina hava prkaash ke woh subah tak jarur hi maara jata lekin tabhi security guard aaya aur usne darvaja open kar diya.
Us vyakti ki aankho me khushi ki ek lahar prvaahit hone lagi,usne us security guard se kaha ki yaha par mujhe nikalne ke liye thanx lekin tum yaha kaise aaye,toh security guard kahne laga ki is plant me 100 log kaam karte hain,unme se sirf aap hi ek aise insaneho jo subah aate time mujhse hello kahte ho,aur plant se jaate time bye kahte ho,mene socha ki aaj toh mujhe bye kahne wala vyakti bahar nahi aaya,islye main dekhne chala aaya.
Dosto us vyakti ki sirf hello bye karne ki aadat ne uski jaan bacha li thee,isliye dhayaan deejiye ham jab bhi kuchh karte hain,uska prbhaav hamare jeevan par jarur padta hain.
agar aapko hamari ye post “True Inspirational Story in Hindi” pasand aaye toh ise share jarur kare.