नाकामयाब लोगो के गुण “negative thinking in hindi”

नाकामयाब लोगो के गुण “negative thinking in hindi”

Mere pyare sampatiya kaise ho,dosto bura nahi manna actually aaj mujhe ek bahut hi prachlit film 3 idieots ki yaad aa gayi,toh dosto baise toh mai shuru se hi aaplogo ko successful logo ke bare me batate aaya hu lekin aaj ki hamari ye post aapko samjhaayegi ki ek nakamyab logo me kon kon se gun hote hai,

negative thinking in hindi

isse agar aapme bhi who gun ho toh use chhod deejiye aur life me success ki shuruaat keejiye.toh chaliye jaante hai ki naakamyaab logo me kya kya gun hote hai

(1)doosro ke bare me bura sochna

-dosto y sabse common gun hai ,ek nakamyab insane hamesh doosro ke bare me bura sochta hai,woh sirf apne bare me sochta hai use doosro se kuchh bhi matlab nahi hota hai aur yahi gun use life me use nakamyaab banati hai kyoki agar aapko life me successful person banna hai toh aapko apne se jyada doosro ke bare me sochna chaahiye.

(2)apne vachan ka paavand naa hona-

Nakamyab logo me doosra sabse bada gun hota hai apne vachan ka paavand naa hona.agar aap bhi kuchh baat kehte hai aur use poora nahi karte hai toh it’s my guarnty ki aapko bhagvan bhi kamyabi nahi dilva sakta.

Aaj ke jamane me aise bahut se aise log hote hai jo hamesha jhoot bolte hai aur kahi huyi baat se badal jaate hai yaa khaayi huyi kasam se badal jaate hai,agar aapme bhi aisa gun hai toh please use badal daaliye warna aap ek badi kamyabi toh kya chhoti kamyabi bhi nahi paa sakenge.

(3)doosro me kami dekhna khud me nahi-

Nakamyaab log hamesha doosro me kami dekhte hai,agar who kisi kaam me yaa study me fail hote hai toh who hamesha us kaam study yaa system me dosh lagaate hai,who apne me kami nahi lagaate,woh apne dwara kiye huye galat kaamo ka dosh khud me nahi balki doosro me lagana pasand karte hai.

(4)doosro ki parvaah naa hona-

Agar aap ek nakamyab insane ki shreni me aate hai toh aapko doosro ki koi parvah nahi hogi,mere pyare dosto ek kaamyaab insane ki nishani hoti hai ki jisse use fayeda nahi who uski bhi parvaah karta hai,doosro ke bare me achchha sochta hai,aur nakamyab insan apne alava kisi ki bhi parvaah nahi karta.

(5)apne se bado ka aadar naa karma-

Ek nakamyaab insan apne se bado ka aadar yaa respect nahi karta hai,agar aap ek safal insane banna chahte hai toh apne se bade logo ki respect keejiye aur unse praarthna ke saath baat keejiye,kyoki agar aap apne se bade logo ki respect karma nahi jaante ho toh kamyabi ka koi matlav bhi nahi hoga,agar aap kamyab bhi ho jaao toh kuchh hi pal me apne pad se gir jaaoge isliye sabse jaruri hai bado ka aadar keejiye,pehle apne vyaavhaar me sudhaar laaiye aur phir jeevan me success hone ki koshish keejiye.

(6)jisne apne sath achchha kiya uska ahsaan nahi manna-

Dosto agar aap ek kamyab insane banna chahte hai toh aap apne sath kuchh kiye huye vyakti ka ahsaan maane,kyoki kamyab insan ki khoobi hoti hai ki woh ahsaan maane i

(7)hamesha negative sochna-

Ek nakamyab insan me sabse badi khoobi hoti hai hamesha kisi bhi vishy ki nakaratmak pehloo ke bare me sochna,dosto har cheej me negative baat toh hoti hi hai,ab agar aap har cheej ya har baat me sirf negative sochte hai toh mai sirf aapse ek hi baat kehna chahunga ki phir toh aapka bhagvan hi malik hai,aapka kuchh nahi ho sakta,aap ye kahaniya padiye,aap samajh sakenge ki mai aapse kya kehna chahta hu.

also read-  मानव की शक्ति 

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *