insan ki chhupi hui shaktiya man’s hidden power
ek baar devi devtao ke beech me ek sabha rakhi gayi jisme baatchit chal rahi thi ki insan ki shaktio “hidden power” ko kidhar rakha jaaye jisse insan shaktio ko badi mushkil se dhundh paaye,
tab us sabha me upasthit ek devta bole ki men power “insan ki shakti” ko ham ek jangal me chhupa dete hai jisse insan ko shaktiyaa badi mushkil se mil paayengi.
tab ek aur devta aage apni raaye dete huye bole ki insan ki shaktio ko ek nadi me chhupa diya jaaye jisse insan ke liye shaktio ko dhundhna bada mushkil hoga,is baat par ek devta bole nahi nahi meri suniye insan ki shaktiyo ko ham pahaad ki ek choti par chupa dete hai jisse woh apni shaktio ko badi mushkil se dhundh paayega.
tab ant me ek devta bole ki insan hamare banaye gaye sabhi praaniyo me sabse intelligent hai,woh in shaktio ko aasani se dhundh sakta hai, kyo naa ham uski saari shaktio ko usme hi chhupa de.
tab us devta ne aage kaha ki ham human power[insan ki shakti]ko uske sar me chhupa dete hai jisse insan poori duniya me un shaktio ko dhundta reh jaayega,par samajh nahi paayega ki uski shaktiya usme hi chhupi hui hai,tab us devta ne sabhi devtao ki sayamati se insan ki saari shaktio ko dimaag me rakh diya.
bhagvan ne insan ka dimaag itna tez banaaya hai ki woh is shakti se duniya me asambhav ko bhi sambhav kar sakta hai,lekin insan saari duniya me shaktiyo ko talaasta rehta hai lekin woh samajh nahi paata ki insan ke andar woh shakti chhupi hai jo sabse badkar hai.
hamaari is kahani se yahi seekh milti hai ki log apni shakti ko nahi pehchan paate aur kuchh karne se pehle hi haar maan lete hai,waqai insan ko apni shaktio ko pehlchanne ki jarurat hai ki insan naamumkin ko bhi mumkin kar sakta hai,
isliye jaagiye uthiye aur aap jo bhi karna chahte hai bas kar daaliye yakin maaniye aap god’s creation[bhagvan ki rachna]ki aap esi krati hai ki aap kuchh bhi kar sakte hai.
agar ye post aapko achchhi lage toh hamara facebook page like karna naa bhoole.