Weakness “motivational story hindi me”

dosto kehte hai ki agar aap jindgi me success hona chahto ho toh aapko apni kamjori ko door karna hoga kyoki yahi kamjori aapke maarg ki sabse badi baadha ban sakti hai,lekin aaj main aapko jo kahani Weakness “motivational story hindi me” sunaane wala hu,usme toh ek insan ne apni kamjori ko hi apni sabse badi taqat bana liya hain.aur woh kar dikhaya hain jo normal insan ke liye bhi kaafi mushkil ho sakta hain,usne apni weakness ko apni sabse badi shakti bana liya,toh chaliye padte hain jindgi badalne wali ye story.

Weakness “Motivational story hindi me”

kafi time pehle ki baat hai ek vyakti jo ki apni life me kaafi khush tha aur ek fighter banna chahta tha,woh chahta tha ki main duniya ka ek best fighter banu lekin shayad uski kismat ko ye manjoor nahi tha isliye uska accident ho gaya,tab us accident me uska ek haath kat gaya,lekin use ek fighter banna tha,isliye usne apne sapne ko dhundhla nahi hone diya aur ek fighting club join kiya waha par apne guru se bola ki guruji mujhe ek fighter banna hai,mai aapse fighting seekhne aaya hu,guru uski baato se kaafi prbhavit huye,guru ji bole ki agar tum chaho toh fighting me vijay haasil kar sakte ho.
lekin mai tumhe tab fighting sikhaunga jab tum mere se koi savaal naa poochho.
shishya bola haa guru ji mai aapki har baat maanunga.

guruji apne shishyo ke saath usko bhi fighting sikhane lage lekin guruji apne shishyo ko hamesha fighting ki nayi nayi kalaaye sikhate lekin use sirf ek hi kalaa sikhate,use seekhte seekhte 6 month huye 1 saal hua lekin itne time me guruji anya shishyo ko nayi nayi kalaye sikhate but use sirf ek hi kala sikhate,ek din usse raha nahi gaya aur woh guruji se bola ki guruji aap mere saath beimaani kyo kar rahe ho anya shishyo ko aap hamesha nayi nayi kalaaye sikhaate ho but mujhe aap pichhle ek saal se ek hi kalaa sikha rahe ho.
guruji bole mai jo sikha raha hu use seekho saval mat karo,us vyakti ne apne guruji ki baat maani aur woh roj ek hi kala seekhne laga tab dheere dheere 2 saal ho gaye.
ab ek baar ek fighting ki prtiyogita thi savi shishyo ke saath us vyakti jiska daaya haath bhi nahi tha,usne hissa liya,fighting ki alag alag tarah ki prtiyogita chalne lagi.

last me us vyakti ki baari thi,us vyakti ki ek ese aadmi se muqavla tha ki jisse jitna mushkil tha,kyoki woh aadmi duniya ke sarvshesth fighters ko bhi haraa chuka tha.ab dono me fighting shuru hui aur ab jis insan ka daaya haath bhi nahi tha uski baari thi,guruji ne jo kala sikhayi thi woh kala aajmaai,ab us aadmi ne fighting ki us kalaa ka upyog kiya,ab saamne wale ke paas is daav se bachne ka sirf ek hi tarika tha ki woh us aadmi ka daaya haath pakadkar use jamin par gira de lekin uske paas toh daaya haath hi nahi tha toh woh vyakti jiske ek haath bhi nahi tha us prtiyogita me vijay ghoshit kiya gaya kyoki usne saamne wale vyakti ko jamin par gira diya.
toh dosto kesi lagi ye kahani,is kahani se hame ye seekh milti hai ki agar dil me jeetne ki ummeed ho toh ham apni kami ko bhi khoobi me badal sakte hai lekin insaan ki kami yahi hai ki woh agar apne andar koi kami dekhta hai toh sochta hai ki is kami ke karan me aage nahi bad sakta lekin esa nahi hai ham chahe toh is insan ki tarah kami hote huye bhi duniya me naam kama sakte hai.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *