सुख संपत्ति की कथा sukh sampatti a True Story in hindi

sukh sampatti a True Story in hindi

kya aap janna chahte ho ki sukh sampatti paane ka kya raaz hai,ek insan ka kya dharm,kartavya hai,kuchh time pehle ki baat hai,ek vyakti ke 2 ladke huye,un ladko ki bachpan me hi ma mar gayi thi,woh dono apne papa ke sath rehte the,kuchh time baad us bade ladke ki shadi ho jaati hai toh woh apne baap aur bhai se alag rehne lagta hai,

sukh sampatti a True Story in hindi
sukh sampatti a True Story in hindi

jo ladka shaadi se pehle apne baap aur bhai ke saath rehta tha wohi ladka shaadi ke baad alag ho gaya,kuchh time baad us chhote ladke ki bhi shadi ho jaati hai,woh apne papa aur apni patni ke sath achchhe se reh raha hota hai,ek din baap mar jaata hai toh chhote ladke ko bahut dukh hota hai.
pita ke marne ke 5-7 saal baad dono bhaiyo ki aarthik sthiti me bhaari antar aata hai,bada bhai aarthik sthiti bigadne se pareshan rehne laga,aur chhote bhai ke paas paisa badta chala gaya ek din bade bhai ne apni patni se kaha ki chhote bhai ki dinaadin unnati hoti jaa rahi hai,kya kaaran hai? kal tu unke ghar jaa aur dekh woh kya karte hai,
ise bhi padiye-parivar me sukh shanti ke upay in hindi

kiski pooja karte hai,kiska vrat karte hai,apni sthiti me itna antar kese aa gaya pata toh chale.
agle din bade bhai ki patni apne devar ke ghar chali jaati hai,apni devraani se badi meethi meethi baate karne lagti hai,woh dekhti hai ki chhote bhai ki patni ne jhaad buhaar karke nahaaya,pavitrta se bhojan banaakar sabse pehle bhagvan ko bhog lagaya,prnaam kiya.

phir bahu ne sasurji ke saafe aur charan paadukaao ko prnaam kiya.bade bhai ki patni ye sab dekh rahi thi,phir woh apne ghar chali jaati hai,phir apne pati se kehti hai ki aaj me devar ke ghar gayi thi,waha par mene dekha ki dono toh sasur ji ki photo ki,sofe ki, charan paadukaao ki pooja bhagvaan ki tarah karte hai,doosre din bada bhai bhi chhote bhai ke paas gaya,jabki woh usse ver rakhta tha.bade bhai ne chhote bhai se kaha ki dekh bhai pitaji ki saari sampatti par apna dono ka baraabar adhikaar hai naa,chhote bhai ne kaha haa hai,parantu batwaara toh kai barsho pehle hi ho gaya hai.
tab bade bhai ne kaha ki jameen jaayedaad,ghar makaan ka batwaara ho gaya hai,lekin pita ji ke sofe aur charan paadukaao ka batwaara nahi hua hai,mera bhi toh us par adhikaar hai.
woh aage bola ki aada sofa faadkar mujhe de de,mujhe aaj pata chala hai ki tu pitaji ki charan paadukaao ka poojan karke dhanwaan bana betha hai.

chhothe bhai ne kaha-bhaisaab ye toh mene pitaji ki yaad banaye rakhne ke liye rakhe hai,inko mai nahi de sakta,ab unko lekar bhi aap kya karenge.
bade bhai ne kaha-mai bhi teri tarah inki pooja karunga,tab chhota bhai bola ki bhaisaab ab pooja karne se kya laabh,woh jab tak jeevit rahe,tabtak aap unse ver rakhte the.
“ab pachhtaye hot kya jab chidiya chug gayi khet”
bada bhai chhota sa muh banakar waha se chala gaya,use apni bhool ka aabhaas hua.

is ghatna se hamko ye seekh milti hai ki agar hamko jeevan me sukh sampatti chahiye toh mata pita ki seva jarur hi karni chahiye,nahi toh jeevan bhar dukh hi dukh milta hai,ma baap ki seva karna hamara sabse bada dharm aur kartavya hai
agar aapko ye page sukh sampatti a True Story in hindi pasand aaye toh is share jarur kare

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *