Online Movie Ticket Book Kaise Karte hai Hindi Me Janiye

Dosto aaj kal ke jamane me har koi online ke dwara cinema yaa theater ki movie ki ticket book kar sakta hai,aaj ka hamara topic hain online movie ticket book kaise karte hai,actually aaj ke jamana me har koi janna chahta hai ki movie ticket book kaise kare,jyadatar logo ko movie dekhne ka bahut hi shaok hota hain,jab bhi koi nayi movie release hoti hai toh ham sabse pahle use dekhne ke liye jaate hai lekin bheel kuchh jyada hone ki wajah se ham film nahi dekh pate hai toh hame bahut dukh hota hai ki kaash main online movie ticket book kar sakta,kuchh log toh aise bhi hote hai jinke pata hota hai ki online ticket book hote hai lekin unko bilkul bhi jankari nahi hai ki online movie tiket book kaise kare,jisse aap ghar baithe hi online movie ticket book kar sakenge toh chaliye jante hai ki book my show ke dwara online movie ticket booking kaise kare
Online movie ticket book kaise kare

Dosto online movie ticket book karne ke liye aap kuchh step follow kare
step 1-

sabse pahle aap bookmyshow.com naam ki website par jaye,jaise hi is website par jate hain toh aapko sabse oopar bahut saare option dikhayi denge,aapko movie par select karna hai.jaise ki maine neeche is screenshot me bataya hai

step 2-

Ab aapko neeche jana hai aur apni pasand ki movie jo aapko talkies me dekhni ho uske neeche book now par click kare.jaisa ki maine neeche ke is screenshot me bataya hai

step 3-

Ab aapko kuchh naye option dikhayi denge,sabse pahle aap jis tareekh ko film dekhna chahte hai use select kare,Ab neeche jis talkies me bhi film dekhne jana chahte hai,woh talkies select kare,phir uske samne time select kare.

step 4-

Ab aapke samne ek new page open hoga,aapko usme ticket type select karna hoga,phir Qty select kare,Qty means aap kitni ticket lena chahte hai select kare.

step 5-

Ab aapko jis bhi seat par baithna ho,use select kare,phir proceed par click karde.

step 6-

Ab aapko poori details ek baar phir screen par dikhayi jayegi,isme internet handing fees lagegi,jiske kaaran online talkies book karne ki fees jyada ho jayegi.

Ab neeche phir se proceed par click kare.

step 7-

Payment pay karne ke liye aap chahe toh quikpay ya mywallet se login kar sakte hai,aur yadi nahi toh aap apni email id aur mobile number dale,Phir neeche make payment option select kare aur pay karde.

aap jis option ke dwara bhi pay karna chahe,kar sakte hain.baise online pay karne ke liye sabse best tareeka hai netbanking ke dwara pay karna,aur agar ye suvidha aapke paas nahi hai toh apne bank ki branch me sampark karke netbanking shuru kare.

agar aapke paas net banking suvidha nahi hai toh aap debid card ke jariye pay kar sakte hai,iske dwara pay karna bhi bahut saral hai.

agar aapko online pay karna nahi aata toh aap hamari agli post ka intzaar kare,jisme ham batayenge ki online pay kaise karte.

Online movie ticket book karne ke fayede

(1)online movie ticket book karne ka sabse bada fayeda ye hain ki hamara time bach jaata hain,jisse ham aur doosre kaam bhi kar sakte hain.

(2)agar koi job yaa apne business me bussy ho aur uske paas movie ticket kharidne ka time naa ho toh woh asaani se ghar baithe online movie ticket book kar sakte hai.

(3)ham dekhte hai ki aajkal talkies me bahut jyada bheel padti hai toh ho sakta hai kuchh log bheed ke wajah se yaa line me lag kar ticket naa lena chaahe yaa unhe line me lagna pasand naa ho toh woh aasaani se apne ghar se movie ticket book kar sakte hain.

(4)ho sakta hai ki aap jis city me movie dekhne jaane wale ho,waha tak pahuchne me aapko kaafi time lag jaaye,aap soch raho ho ki kaash bas,train,airoplane me baithe baithe hi online ke dwara movie ticket book ho jaati toh kitna achchha hota toh aap aasaani se ghar baithe movie ticket book kar sakte hain.

(5)ho sakta hai ki aap apni wife,girlfriend ke sath movie dekhne jane ka plan bana rahe ho,toh aap soch rahe ho ki ye kitna bura hoga ki meri wife akely khadi rahegi aur main ticket lene ke liye line me khada rahunga,ho sakta hai aap is kaaran online ke dwara movie ticket book karna chahte ho.

(6)ho sakta hai ki aap har baar ticket lete lete thak chuke ho,aap chahte ho ki ab main online hi movie ticket hi book karke jaaya karunga.

Dosto is tarah se aap online ghar baithe talkies ki ticket book kar sakte ho.

agar aapko hamari ye post online movie ticket book kaise karte hai pasand aayi ho toh ise share jarur kare aur hamara facebook page like karna naa bhoole.

Electricity-bill-online-payment-kaise kare    Live-Train-running-status-online-check kaise kare

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *