Electricity bill online payment kaise karte hai-Bijli ka bill check kaise kare

Dosto aaj ki hamari is post me ham electricity bill online payment kaise karte hai or bijli ka bill check kaise kare ke bare me janenge,aaj kal ham sab jaante hai ki aaj jamaana hai online ka.aaj is jamaane me bahut saare  kaam online ke dwara ghar bethe apne computer ya laptop ke dwara hone lage hai,jaise ki agar koi apna bijli ka bill chukana chahe toh use ghanto tak line me lagne ki bilkul bhi jarurat nahi hai,kuchh log toh online pay karne ko bahut hi difficult samajhte hai,who sochte hai ki ye mai nahi kar sakta.

ise bhi padiye-Online Movie Ticket Book Kaise Karte hai Hindi Me Janiye

aaj ki hamari ye post aise hi logo ke liye kaafi laabh pradh hogi jo bijli ka bill bharne ke liye line me lagte lagte thak chuke hai.baise aaj ke jamaane me kaafi log bijli ka bill online ke dwara jama karne lage hai,aap yaha se bijli ka bill bhi check kar sakte hai,lekin maine dekha hai ki bahut saare pade likhe log bhi ghanto tak line me lage rehte hai,iske kuchh kaaran ho sakte hai

(1)ho sakta hai ki unko pata nahi hota ki ham ghar baithe bhi online electricity payment kar sakte hai,jis kaaran woh ghanto tak line me khada hokar apna time kharaab karke bill jama karte hai.

(2)ye bhi ho sakta hai ki woh online electricity payment karma chahte hai lekin unko pata nahi hota ki aakhir electricity bill online payment kaise karte hai,ho sakta ho unhone electricity bill pay payment karne ki koshish bhi ki ho lekin is process me unhe kuchh problem aa rahi ho toh aaj ham aise hi logo ki help karne wale hai toh chaliye jaante hai ki ham kaise online bijli ka bill jamaa kare.

Electricity bill online payment kaise karte hai-bijli ka bill check kaise kare

Ye bahut hi simple hai,bas mai aapko jo step by step bata raha hu,aap use follow kare.

Step1-

aapko sabse pahle mpcz ki is website ko open karna hai

http://www.mpcz.co.in/

Ab aapko is website me bahut saare option dikhaayi dete hai,agar aap yaha se electricity se sambandhit kisi aur prkaar ki jaankaari lena chahe toh le sakte hai

Step2-

agar aap apna is month ka bill dekhna chaahe yaa payment karma chaahe toh right side me dekhiye aapko view/pay your bill ka option dikhaayi dega,aap us par click kare,jaise ki mene is screenshot me dikhaya hai

Step3-

ab ek nayi window khulegi.nayi window  me aapko bahut se option dikhaayi denge aap hamare dwara batayi gayi aage ki jankari pade

(1)isme aapko choose karne ke 2 option diye hai,aap account id  select kare

(2)isme aap rvrs no. dale.

(3)ab agar aap kisi other payment option ke dwara payment karma chaahe toh other payment select kare aur yadi aap debid card,credit card,net banking yaa online banking jaise option karma chahe toh bill desk payment select kare.

Ab aap last me submit par click kare

Step4-

Submit par click karne ke baad aapko neeche aur bhi kuchh fill karne ko kaha jata hai aap unhe bhar sakte hai.

Lekin agar aap only bill check karna chahte hai toh aapko aage bharne ki jarurat nahi hai.aap sabse neeche left side me view bill par click karke apna bill check kar sakte hai.

Lekin Agar aap bill pay karna chahte hai toh apna mobile number aur Email id daale,ab aap pay now par click kare,ab aapke paas confirm karne ka option aayega,agar aapke dwara bhari huyi details sahi hai toh confirm kare.

Step5-

Ab aap jis bhi option ke dwara apna bill pay karma chahe woh select kare.

Isme aapko debid card,credit card,net banking yaa online banking jaise option select karne ke liye diye jaayenge,aap jiske dwara bhi pay karma chahe use select kare.

Step6-

Jaise ki agar aap net banking ke dwara pay karna chahte hai toh net banking select kare aur apna username,password enter kare aur pay kar de,aapke mobile par otp ka message aayega aap use usme enter kare,aur submit karde.

Ab jab tak aapko screen par bill chukaayi gayi receipt naa dikh jaye tab tak aap wait jarur kare.aur last me us receipt ko save kar le.ab aapka bill pay ho chuka hai.

Agar aapke paas netbanking nahi hai toh debid card yaa credit card se payment kar sakte hai.aap bas pay karte time screen par diye gaye step follow karte jaiye,aapka bill payment ho jayega.

Toh dosto is tarah se aap bina line me lage online ke dwara bill bhugtaan kar sakte hai,aur apne jeevan me enjoy kar sakte hai,aapko line me khade hone ki bilkul bhi jarurat nahi hai.

Dosto agar isse sambandhit aapko koi bhi problem ho toh aap hame comments kare,ham aapki help karne ki koshish karenge.

Agar aapko hamari ye post pasand aayi ho toh ise share jarur kare aur hamari agli post seedhe aapke mail par pane ke liye hame subscribe jarur kare,aur hamesha kuchh naya seekhte rahe.

ise bhi padiye-बिजली बचाओ पर स्लोगन Slogan on bijli bachao in hindi

One Comment

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *