Facebook Account Delete or Deactivate Kaise Kare
aaj ki hamari post hai facebook account permanent delete or deactivate kaise kare,aaj duniya me har insan facebook chalata hai,facebook aaj logo ki aadat ban chuki hai,facebook par ek desh ke barabar user hai,jo apne dosto se sampark karne ke liye facebook ka istemal karte hain iske alava bhi ham facebook ka upyog nayi nayi post apne dosto me share karne ke liye bhi istemal kar sakte hain,waha par jo bhi like milti hai unse logo ko khushi milti hain,
dosto jab mark zukerberg ne ise launch kiya tha,tab use bhi itni ummeed nayi hogi ki ye itni jaldi itni jyada famous ho jayegi,baise toh shayad duniya me koi bhi insan ho,uska facebook account toh jarur hoga,kuchh logo ke toh ek se jyada bhi facebook par account hote hai,isi kaaran yaa kuchh aur kaaran log facebook ka account delete ya deactivate karna chahte hai,chaliye sabse pahle jante hai ki facebook account ko deactivate kaise karte hai.
facebook account deactivate kaise kare
Dosto ab ham jante hai facebook account ko deactivate karne ka tareeka kya hai lekin sabse pahle mai aapko batadu ki facebook account ko deactivate karne ke baad woh bilkul bhi kaam nahi karta aur usme dale gaye video yaa photo bhi koi dekh nahi sakta,lekin hamare dosto ki friends list me hamara account dikhega,
aap facebook account deactivate karne ke liye aap sabse pahle facebook me login kare
Ab jese ki neeche screenshot me diya gaya hai,baise hi aap corner me setting par click karo phir security par click karo,ab sabse neeche deactivate your account ke saamne edit par click kare,ab deactivate your account par click kar de,aap chaahe toh neeche is screenshot me dekhkar step by step kar sakte ho
ab facebook aapse aapka password dalne ko kahega,agar aap facebook account delete karna chaahe toh password daalkar continue par click karde,istarah se aap apna facebook account deactivate kar sakte hain.
agar aapko poori tarah se facebook ka account delete karna hai toh neeche padiye ki facebook ka account delete kaise karte hai lekin isse pahle ham delete karne ke kuchh karno par baat karenge.
Facebook account delete karne ke kaaran
Dosto facebook account delete karne ke kayi kaaran ho sakte hai toh chaliye jante hai facebook account delete karne ke kuchh men kaaran
(1)ho sakta hai kisi vyakti ke facebook par bahut saare account ho jinse woh bahut pareshan ho gaya ho,woh chahta ho ki mai apne facebook account ko delete kardu.
(2)ho sakta hai koi vyakti kisi vyakti ke jyada account hone ki wajah se facebook us vyakti ke account ko ban kar rahi hai,kyoki facebook ko bhi pata lag jaata hai ki ek ip address se kitne account hain.
(3)ho sakta hai ki koi kisi ko facebook par galat message bhejhta ho jis kaaran ho bahut hi tang ho gaya ho/tang ho gayi ho jis kaaran woh apna facebook account delete karke ek new facebook account banana chahte ho.
(4)ho sakta hai ki aapko facebook ki bahut jyada lat lag gayi ho,is kaaran aap soch rahe ho ki naa rahega facebook account naa rahegi aadat yaa lat.kyoki kuchh logo ko facebook ki bahut jyada lat hoti hai,woh din raat facebook chalate rahte hai.
(5)ho sakta hai ki aap soch rahe ho ki facebook meri security ke liye sahi nahi hai,isliye mujhe facebook account delete kar dena chahiye.
Dosto facebook account delete karne ke kayi aise kaaran ho sakte hai,ab ham aapko batane wale hai ki facebook account permanent delete kaise kare
facebook account ko permanent delete kaise kare
Step 1
Facebook account ko delete karne ke liye sabse pahle aap facebook account ko login keejiye,ab neeche delete account par click kare
https://www.facebook.com/help/delete_account
Step 2
ab ek new page khulega jisme aap delete my account par click kare
Step4
Ab aapke samne ek message aayega,jisme likha hota hai ki aapka account deactivate ho gaya hai,aapka account 14 din me delete ho jayega,agar aap apne account ko delete hone se rokna chahe toh 14 din ke andar apne facebook account me login kare.
Dosto ab aapka account 14 days me permanent delete ho jayega,agar aap apne facebook account ko delete karna chahte hai toh aap 14 din tak apne facebook account me login naa kare.
facebook account ko delete hone se rokne ke liye aap 14 dino se pahle apne account me login kare aur cancel deletion par click karke apne account ko delete hone se bachaye.
dosto agar aapko hamara ye article pasand aaya ho toh ise share jarur kare.
inhe bhi pade-Facebook Page ki Ownership Kisi Dusre Account ko Transfer Kaise Kare Facebook id se Friends list ko Hide kaise kare hindi me janiye