Google Chrome Browser ko reset kyo aur kaise kare in hindi

Dosto aaj ki hamari ye post un logo ke liye kaafi important hai jinka google chrome problems kar raha hai,aur vah crashing kar raha hai,baise mai aapko batadu ki chrome browser duniya me sabse jyada use kiye jane wala browser hai aur iski speed bhi kaafi tez hai,iske dwara ham internet chala sakte hai aur ham sabke liye sabse jyada important bhi hai,kyoki ye bahut hi achchhe se aur fast tareeke se kaam karta hai.ham hamesha google chrome me facebook,gmail,google search ingine,yahoo jaisi kayi website open karte hai,ek serve ke anusar bhi ye kaafi fast work karta hai.

Google chrome ko reset kyo kare

Dosto google chrome ko reset karne ke kayi kaaran ho sakte hai,kabhi kabhi hamare computer or laptop ke browser me kuchh bekar setting ho jati hai,ho sakta hai ki aap jab bhi koi si website open karte ho,toh woh website apne aap kisi dusri website par reset hone lagti hai.

Yaa phir ye bhi ho sakta hai ki aap jaise hi koi website open karte ho ,open karne ke baad aap jaise hi us website yaa usme diye gaye link par click karte ho toh website apne aap kisi dusri website par reloding hone lagti hai.

Ye bhi ho sakta hai ki aapka chrome browser theek se working nahi kar raha ho,aap usse bahut pareshan ho gaye ho.

dosto ye bahut hi bekar problem hoti hai,isse hamara time barbad toh hota hi hai,sath me hamara netpack bhi jaldi khatm ho jaata hai,isliye agar aapke sath bhi aisa hi hota hai toh aapko jarurat hai apne google chrome ki setting reset karne ki,toh chaliye jante hai ki google chrome ko reset kaise kare

Google chrome ko reset kaise kare

Step 1

Sabse pahle aap apne computer me google chrome open kare.

Step 2

Ab sabse oopar right me menu bar par click kariye aur phir setting par click keejiye,jaise ki maine is screenshot me dikhaya hai.

Step 3
Ab sabse neeche show advanced settings par click keejiye
Step 4
Ab aap neeche reset settings par click kare-
aap jaise hi reset settings par click karenge aapse confirm karne ke liye dowara reset aayega,aap reset par click keejiye

ab check keejiye aapki problem solve ho chuki hai,aur agar aapki ye problem solve nahi huyi hai toh jarur hi aapke computer me koi unwanted software yaa malware aa gaya hoga,agar aisi condition aaye toh ho sakta hai aapko woh software yaa malware pahle delete karna ho tabhi jakar aapki problem solve ho paaye

dosto unwanted software yaa malware delete karne ke liye ham aapko jankari hamari agli post me batayenge.

toh dosto is tarah se aap apne browser ki setting phir se nayi jaisi kar sakte hai.

agar aapko hamari ye post pasand aayi ho toh ise share karna na bhoole.

ye bhi padiye-ek-mobile-se-dusre-mobile-me-balance transfer kaise kare  live-train-running-status-online-check kaise kare

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *