Google Adsence kya hai aur ye kaam kaise karta hai

Dosto aajkal bahut sare log blogging karte hain,woh apne blog ya website ke dwara apne visitor ko nayi nayi jankari dete hai,jyadatar blogging karne wale logo ka maqsad yahi hota hai ki main logo ki madad karte huye,apne blog se kuchh money earn kar saku,toh main aapko batadu ki blogging ke jariye money kamane ka sabse besta tarik hai google adsence.

Baise toh blogging ke jariye aap paisa kisi dusre network se bhi kama sakte ho lekin google adsence ke barabar paisa koi bhi pay nahi karta,google adsence hame sabse jyada paisa kamane ka offer deti hain.

Google adsence kya hain

Google adsence google ki ek free service hain,yah google ki ek cost-per- click advertisement network hain,jiske jariye aap money earn kar sakte hai,lekin agar aap google adsence ke jariye money yaa paisa kamana chahte hai toh aapko google ki guidelines ke under rahkar hi work karna hoga,agar hamari website me bahut achchha traffic hai toh google adsence aapke liye bardaan saavit ho sakta hai kyoki google adsence me earning ki koi bhi limit nahi hain,aap jitna chaaho utna google adsence ke dwara money earn kar sakte hain.

Google adsence kaam kaise karta hain

Google adsence se paisa kamane ke liye aapko apne blog yaa website par google adsence ke ads lagane honge,actually google ki ek service hai adwords,jisko bhi apna advertisement karvana hota hai,woh google adwords se contanct karta hain,aur woh vyakti ya company apne advertisement google adwords ko de deta hain,google adwords google adsence ke jariye us vyakti ya us company ke advertisement karti hain,aur ham google adsence ke ads apne blog ya website par laga lete hain aur jab bhi koi visitor apne blog par aakar us ads par click karta hain toh hamari income hoti hain.

Yaha par ye khaas baat hain ki google adsence ke ads par agar koi visitor click bhi karta hain toh bhi aapki income hoti hain.

Google adsence,blog me jo bhi post ka title hai,uske hisab se advertisement dikhata hain,jaise ki aapki post ka title ensurance ke oopar hain toh google adsence aapki is post par ensurance ke hi ads dikhayegi,jisse us par jyada se jyada click pane ki sambhavna ho jaati hain.is tarah se aap google adsence se jyada se jyada money earn kar sakte hai,dosto waqai me agar aap blogging karte hai toh aapke paas google adsence se achchha money earn karne ka tareeka ho hi nahi sakta.google adsence pahle sirf check ke dwara payment karta tha,lekin ab aap apne paypal account me paise manga sakte hai,phir paypal ke jariye money direct aapke local bank account me transfer kar dee jaati hain.toh is tarah se google adsence work karta hai,aur aap isse achchhe se paisa kama sakte ho.

Agar aapko hamari ye post pasand aayi ho toh ise share jarur kare aur hamara facebook page like karna naa bhoole.

ye bhi jarur pade-how-will-i-look-after-20-years-online in hindi   gmail-par-email-account-kaise-banaye

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *