Most attractive website-How will i look after 20 years online in hindi
How will i look after 20 years online
Dosto aaj ham aapke liye ek bahut hi behtreen jankari lekar aaye hain,aaj ka hamara topic hain “How will i look after 20 years online in hindi” aaj har insan apne friends,relatives se milta hain,woh apne friends,relatives se milkar kaafi khush hota hai,kuchh log jo bahut hi sundar najar aate hain toh log unki kaafi taarif bhi karte hain,kuchh logo ko dar lagta hain ki meri ye sundarta kahi mujhse door naa ho jaaye,log sochte hain ki kash kuchh aisa hota jisse mujhe pata chal paata ki mai agle 20 years baad kaisa dikhunga,logo ko is bare me janne me hamesha se hi ruche hoti hain.
Bese mai aapko bataadu ki aaj ham jese bhi dikhte hain,agle years baad ham jaise bhi dikhenge,woh hamare khane,peene,drugs lene yaa kisi prkaar ka nasha ka use karne par nirbhar karta hain,agar ham nashili cheej ka upyog karenge toh hamari soorat kamjor najar aayegi.
Chaliye jaante hain ki ham kaise jaan sakte hain ki ham 20 years baad kaise diikhenge
is article ko bhi jarur pade-mobile-par-free-sms-send-kaise-kare
20 saal baad aap kaise dikhenge janiye
Agar aap janna chahte hain toh sabse pehle is website par jaaye http://www.in20years.com/
Ab aapko is website ke beech me kuchh photo nazar aayenge,un photo ke neeche nazar daalye,yaha par aap jiska bhi 20 years baad ka photo dekhna chahte hain,uska gender select kare.
Uske baad,woh vyakti jitni years ka hain,utni uski age select kare,aap jis vyakti ki bhi 20 years baad ki photo dekhna chahte hain uske bare me ye pata hona chahiye ki woh drug ka addict yaani use drug ki aadat hain yaa nahi,aap is hisaab se yes yaa no select keejiye.
Ab aapko neeche “upload your photo” ka button nazar aayega,aap is par click kare,aur ab apne computer se us vyakti ka photo upload kar de.toh aap dekhenge ki kuchh hi seconds baad us vyakti ka photo aapke saamne aa gaya hain.toh dosto is tarah se aap apna yaa phir apne kisi bhi jaan pehchaan wale ka 20 saal baad ka photo dekh sakte hain.
Aapko iske neeche url bhi diya jaata hain,aap chaho toh us url ko copy bhi kar sakte ho.isme share ka button bhi diya jaata hain,agar aap chaaho toh ise facebook,google par apne dosto me share bhi kar sakte ho.
Ek baat yaad rakhe ki aap isme sirf ,jpg,png or gif photo hi upload kar sakte ho aur photo clear dikhna chahiye,photo ka size small hona chahiye,tabhi woh photo aap dekh sakte hain.
dosto agar aapko hamari ye post pasand aayi ho toh ise share jarur kare.
ise bhi pade-live-train-running-status-online-check kaise kare