website(Blog) kaise banaye in hindi
Dosto aaj jamaana badal chuka hai,
is naye jamaane me bahut se aise kaam hai jiske jariye aap bina paisa kharch kiye apni mehnat aur lagan se life me bahut aage bad sakte ho,aur duniya me ek nayi pehchaan bana sakte ho.aur duniya me ye saavit kar sakte ho ki agar aap chaaho toh apni sachchi lagan aur mehnat se lakho rupye monthly kama sakte ho.
Aaj ham un logo ki madad karma chahte hai jinka sapna hai ki kaash meri bhi ek khudki website hoti toh kitna achchha hota,website banbaane ke liye log kaafi paisa kharch bhi karte hai lekin aaj ham aapko free me website ya blog banana sikhaayenge.
website ya blog banaane ke liye ye cheeje aapke paas hona chahiye
Dosto blog yaa website se money earn karne ke liye yaa phir duniya me ek nayi pehchaan banaane ke liye aapko rojaana apni website par naye naye article likhne honge,aap jitne badiya article likhoge,aapki website yaa bloge utna hi famous hoga aur aap ek successful blogger ban paaoge.website ya blog banaane se pehle aapko kuchh baate jarur pata honi chahiye tabhi aap blog yaa website bana sakoge
(1)email id-blog ya website banaane ke liye sabse jaruri hai ki aapke paas ek gmail id ho,kyoki internet par bina email id ke kuchh bhi nahi hota hai,isliye agar aapke paas gmail id nahi hai toh sabse pehle gmail id banaaye.aur agar aapke paas gmail par id nahi hai toh pehle gmail par apni email id banaye aur banana nahi aata toh hame mail kare ham jald hi ek article likhenge.
(2)aapki ruchi-website ya blog banaane ke liye ek aur jaruri cheej hai aapki ruchi,sabse pehle aap ye tay keejiye ki aap kis subject par apni website ya blog banana chahte hai,aap jis subject par bhi apni website par logo ko jaankaari dena chahto ho,us bare me aapko jaankaari honi chahiye yaa aapko us chhetra me jaankaari lene me achchha lagna chahiye tabhi aap apni website yaa blog banaaye kyoki agar aap bina ruchi ke kisi bhi subject par likhne lagte hai toh aap kuchh time tak hi likh paaoge,aage chalkar aap borr hone lagoge aur apna kaam beech me hi chhod doge.
Isliye dear friends sabse jaruri hai aapki ruchi.
(3)computer aur internet-agar aap apni website yaa blog banana chahte hai toh aapke paas apna computer aur sath me internet connection hona jaruri hai tabhi aap sahi se ye work kar sakte hai.
Website(blog) kaise banaye in hindi
Sabse pehle aap www.blogger.com par jaaye aur usme sabse pehle aap apni gmail id daale phir apna password daale aur ok karde
Title-aapko woh title bharna hoga jo aap apne blog ya website ka naam rakhna chahte hai,jaise ki agar aap apne blog ya website ka naam www.mehtvtademo.com rakhna chahte hai toh aap blog ka title rakhiye mehtvta.Kisi bhi blog ke liye title bahut hi importance hai kyoki aapke blog ke title ke wajah se hi log aapke blog ko samajh sakte hai isliye soch samajh kar apne blog ka title banaaiye,baise aap ise baad me bhi change kar sakte hai.
Address or url-ab baat aati hai blog ke address yaa url ki toh agar aapke blog ka naam mehtvta hai toh aap address or url me mehtvtademo.blogspot.com bhar sakte hai,
Badhaai ho aapka blog ready hai,ab aap job hi isme likhte ho,woh poori duniya me koi bhi pad sakta hau aur aapka blog search karne par google me bhi aane lagega.
Free website कैसे बनाये इसके बारे मे बढ़िया जानकारी दिया है आपने