short story on helping others in hindi दुसरो की मदद पर कहानी

dosto aaj ki hamari ye post short story on helping other in hindi aapke liye ek prernadayak story hai,jo ek real life story hai isme ham janenge ki delhi ke prbhu ne kaise rajsthan gao me bijli ka ujala felaya.jo aapko sikhayegi ki hame dusro ki madad karna chahiye,chaliye padte hai is jabardast kahani ko.

Dosto rajasthan ke kuchh gaao me bijli ke darshan bhi nahi hote hai,jis wajah se rajasthan ke logo ko shiksha, aarthik jarurto ko poora karne ke liye pareshani ka samna karna padta tha,aajkal ye vyavstha shahari ilaake me toh hai lekin kuchh gaao me ye vyavastha abhi bhi nahi hai

jis wajah se gaao wale in problem se joojh rahe hai,aise hi rajasthan ke kuchh gaao walo ko in problem se kaafi pareshani hoti thee tabhi unke gaao me ek aisa masiha aaya jo unki zindgi me ujala le aaya.woh mashiha the delhi ke rehne wale prbhu jinhone rajsthan gao me bijli ka ujala felaya.

delhi ke rehne wale prbhu ko jab ye pata laga ki rajsthan ke gao me bijli bilkul bhi nahi aati hai toh woh jaanna chahte the ki gaao wale aakhir light ke bager kese rehte hai.

iske liye woh gaao me kuchh time tak ruke aur gaao walo ke beech me hi rahe,unhone socha ki kyo naa sor urja ke dwara gaao me light ki vyavstha ki jaaye,unhone gaao walo ke sahyog se light ki vyavstha karne ki koshish ki.

saath me iske liye sarkaar ki aur se bhi inhe sahyog diya gaya,woh is beech gaao walo ke saath hi rahe.

unhone rajsthan ke kaafi gaao me light ki vyavstha ki jisse gaao wale kaafi khush hai kyoki unke bachche ab sahi se pad sakte hai,ab gaao walo ki zindgi me ujala hai.

gaao wale delhi ke rehne wale prbhu ko bahut duaaye dete hai,toh dekha dosto jis insan ka us gaao ke logo se koi matlab hi nahi tha,phir bhi prbhu ne unke liye light ki vyavshta karvaai.

ham sab ko bhi gareeb,dukhi,laachaar logo ki madad karna chahiye kyoki jab ham doosro ki madad karenge toh doosre bhi hamari madad karenge aur hamare jeevan me khushi hamesha rahegi.

Mehtvta.com  ki aur se delhi ke rahne wale prbhu ko ham is achchhe kaam ke liye oopar wale se prarthna karte hai ki prbhu apne jeevan me hamesha khush rahe,aur hamare readers se ham request karte hai ki woh bhi dusro ki madad karne ki koshish kare.

agar aapko hamari ye post pasand aayi ho toh ise share jarur kare aur hamara facebook page like karna naa bhoole.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *