सकारात्मक सोच पर निबंध Sakaratmak Soch Essay In Hindi
Sakaratmak Soch Essay In Hindi
Positive thinking essay in hindi-hello friends kaise hai aap sabhi,aaj ki hamari ye post sakaratmak soch essay in hindi specially hamne un logo ke liye likhi hui hain,jo apni life me apni soch ko sakaratmak soch (positive soch)banana chahte hain,dosto jab bhi ham koi kaam karte hai toh jaahir si baat hai ki hamare man me 2 thoughts aate hai negative aur positive.
agar hamne apne negative vicharo ka sath diya toh ham apne jeevan me kuchh bhi nahi kar paayenge kyoki duniya ka aisa koi kaam hai hi nahi jiska nateeja negative naa nikal sake,agar ham sirf negative vichardhaara se aage badenge toh mujhe nahi lagta ki ham apne jeevan me kuchh kar paayenge.
aur doosri aur agar aapne apni positive soch ke jariye kuchh karne ki koshish ki toh sakaratmak soch ki shakti se yakeen maniye aapki zindgi me itna bada badlav aa sakta hain jo shayad aapne bhi nahi socha hoga isliye sabse jaruri baat apne jeevan me sakaratmak soch ko apnaiye.
ye bhi padiye-3-big-secrets-of-success-in-life-hindi me
sakaratmak soch kaise banaye
aaj mai aapko bataane wala hu ki aap apni “sakaratmak soch kaise banaye” kyoki ye sakaratmak soch hi aapko zindgi me kaafi aage le jaa sakti hain,aapko ek aise mukaam par le ja sakti hain,jaha par pahuchne ke aap sapne dekhte hain.toh chaliye jaante hai ki ham apni soch ko positive soch kaise banaye-
apni kabliyat ko pehchane
paristhitiyo ko pehchanne ki koshish kare
is article ko bhi pade-importance-of-patience-in-everyday-life hindi story
apne dreams dekhiye
mai apne aapko kaise rakhta hu sakaratmak
Dosto aaj se kuchh saal pehle maine network marketting bussiness shuru kiya tha,but ham jab bhi koi naya kaam shuru karte hai toh bahut saari problem aati toh esa hi mere saath hua.
mai us bussiness me koshish karta raha lekin safalta haath nahi lagi,abhi bhi mai is bussiness ko karta hu lekin phir bhi mai safal nahi hua.
mai lagaatar is bussiness me safal hone ke liye mehanat kar raha hu lekin jese ki ham jaante hai ki negative vichar har kisi ke man me aa jaate hai toh mai kese apne aapko possitive rakhta hu,ham aaj yahi jaanne wale hai.
jyadatar logo ke andar jab bhi negative vichar aate hai toh woh us par kaabu nahi kar paate,woh apne aap ko kamjor mehsoos samajhne lagte hai lekin mere andar jab bhi negative vichar aaye hai toh mene kabhi bhi usko apne oopar haabhi nahi hone diya,mai negative vicharo ko positive thghouts se replace kar deta hu.
“(1)jese ki mere andar negative baat aati hai toh mai jis kaam mai sabse jyada maahir hota hu,usko apne aap par practical karke dekhta hu toh mere negative vichar apne aap mujhse door jaane lagte hai.
(2)jab bhi me nakaratmak feel karta hu toh apne sapno ko yaad karta hu.
ek baar mene ek vyakti se kaha ki bhai shayad aapka koi dream nahi toh woh kehte hai ki dream toh har insan ke hote hai,har insan chahta hai ki mere paas car ho,bangla ho,pesa ho,jameen jaayedaad ho.
tab mene kaha ki bhai ese dream se kuchh nahi hota,hamare sapne majboot hona chahiye, hame hamare sapno se pyar hona chahiye tab hi aap apne sapno ko poora kar sakoge.
agar insan ko apne sapne ko poora karna hai toh apne sapno ko roj subah uthkar dekhne honge means un sapno ki kalpna karni hogi.
mere andar jab bhi negative vichar aaye hai toh mai apne lakshya “goal” ko yaad karta hu.”
agar aap bhi kisi bhi business ko kar rahe hai toh samajhiye ki aapko us field ki poori jaankari mil paana thoda mushkil hoga. isliye us kaam ko samajhiye ki waqai me kaam aapke liye sahi yaa nahi hain,uske baare me sakaratmak roop se sahi faisla leejiye.mai apne bussiness mai jab bhi negative hua hu toh mai jis kaam mai maahir hu uske baare me sochta hu,yaani mai mere bussiness ke ek kaam me maahir hu. uspar mene din raat practice ki hai.
is tarah se mai apne aapko hamesha positive rakhta hu.
agar aapko ye article Sakaratmak Soch Essay In Hindi pasand aaye toh ise share jarur karna.aur hamare facebook page ko like karna naa bhoole.