Network Marketing Business Plan & Tips in Hindi

Network Marketing Business Plan & Tips in Hindi- Dosto aaj India me network marketing business bahut hi joro soro se chal raha hai,aur bahut se logo ko is business ki value bhi pata chali hai,kuchh log sochte hai ki shayad ye business galat hai kyoki isme jyada money kamaai jaa sakti hai,kuchh log sochte hai ki ye business judne wala business hai isliye galat hai,dosto aaj ki hamari ye post un logo ke liye hai jo waqai me apni life me kuchh bada achieve karma chahte hai

dosto duniya me time ke saath bahut saare naye badlaav aate hai,aisa hi naya badlaav is network marketing business ke dwara aaya hai,dosto network marketing business ke bare me aaj ham aapko jo baate bataane wale hai yakin keejiye ye jaankar aap network marketing business ko galat business nahi keh sakenge.toh chaliye jaante hai ki aakhir aisa kya hai is business me jise jaankar aap bhi shuru kar denge ye business.

Network Marketing Business Plan & Tips in Hindi
Network Marketing Business Plan & Tips in Hindi

Network Marketing Business Plan & Tips

duniya me tarah tarah ke log hote hai,kuchh log koi cheej pasand karte hai wahi doosre log us cheej ko pasand nahi karte,dosto network marketing business bhi kuchh aisa hi hai,mai aapko ek baat bataadu ki ye duniya ka eklota ek aisa business hai jaha par hamko woh cheeje milti hai jo duniya ki kisi bhi field me shayad hi milti ho.

padiye-Network Marketing Success Stories in hindi-Sanjay Dhiman   MLM Network Marketing me Success Hone ke liye kaisi company join kare,kaisi naa kare

ye business logo ko jyada money kamane ka moka deta hai,ye hame aarthik roop se swatantrta deta hai,ye business hame khud ka business karne ka maoka deta hai,jyada khaali time,vyaktitvya vikaas,doosro ki madad karne ka maoka deta hai,naye logo se mell joll karne ka maoka aur samajik pratistha deta hai.aur sabse importance baat ye hai ki duniya me shayad hi koi aisa work ho jisme ek sath aapko itni saari praathmikthaaye poora karne ka maoka mil paata ho.

toh dosto jaante hai duniya ke ek aise hi jaadui business ke baare me jisne poori duniya ko badal ke rakh diya aur duniya me logo ko ek aisa platform dilva ki aaj gareeb insan bhi duniya me woh kaam kar sakta hai jisse use poori duniya kabhi bhi naa bhool paaye.

Dosto aaj bharat me bahut si company hai,jo apne product ko market me bechti hai,aap mujhe bataaiye ki kya company ke maalik khud apne product ko bechte hai?

Seedhi si baat hai aapka javav hoga ki nahi toh mai aapko bataana chahunga ki company apne product ko job karne wale,commision ke dwara kaam karne wale logo aur advertisement karne wale logo ke dwara bechti hai,advertisement kisi bollywood star yaa kisi cricketer se karvaati hai,use croro rupye deti hai,aur iske alava woh company apne advertisement ko tv channel par dalvaati hai

aap sochiye ki agar 400 tv channel hai aur 24 ghante me sirf do baar us company ka advertisement har channel aaye toh 24 ghante me 800 baar woh advertisement aayega aur jaahir si baat hai advertisement karvaane wali company ko in tv channels ko lakho,croro rupye prati din invest karna hoti hai.

Ab aap bataaiye ki agar product ki keemat 100 rupye hai toh company ke md ko kitna paisa milta hoga,ek serve ke anusaar jyadatar logo ka answer hoga 100 me se mushkil se 30 rupye aur baaki ke 70 rupye company job,commition,advertisement karne wale logo ko degi.

Lekin network marketing business me company ka kehna hai ki ham in logo par kharcha nahi karenge,ham 100 me se 70 rupye khud consumer ko denge,consumer khud hi hamare ye teeno kaam kare aur 70%  money khud hi kamaa le.toh aap hi bataao ki kya consumer bhi jyada paisa nahi kamaa sakega.consumer bhi khud jyada paisa kama sakega aur jindgi me apne sapne poore kar sakega.

Aap apne dosto ko apne neeche kaam par rakh sakte hai,aur agar aapka koi dost bhi kisi ko kaam par rakhega toh bhi woh aapke liye hi kaam karega.

Ab pata hai isme sabse important baat kya hai?sabse important baat ye hai ki aap logo ko kaam par rakhkar unse kaam karva sakte hai lekin unka mahine ka kharcha aapko uthaane ki jarurat nahi hai kyoki 70% ke roop me company iska kharcha uthayegi aur is tarah se aap logo ko kaam par rakhkar apni aamdani bada sakte hai.

Toh aap mujhe bataaiye ki is business me buraai kya hai,70% paisa hame hi mil raha hai toh consumer ko toh achchha rojgaar hi milega,toh hamare desh ka vikaash hoga isliye uthiye aur network marketing business ko shuru keejiye.aur agar is bare me aap hamse help lena chaahe toh hamse sampark kare.

dosto hamari ye post pasand aayi ho tohise share jarur kare aur hamari agli post seedhe apne mail par paane ke liye hame subscribe jarur kare.

One Comment

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *