Nawazuddin Siddiqui Biography in Hindi-watchmen se bollywood tak kaamyabi ka safar

ye insan pehle watchmen ki nokri karte the lekin aaj ye apni acting se hame hasaate hai,rulate hai,aur daraate bhi hai
dosto kehte hai ki insan ka naseev uski kismat se banta hai,use success bhi kismat se hi milti hai lekin aaj ham aapko jis insan ke baare me bataane wale hai,woh ek insan hai jinhone apni kismat ko bhi dhoka diya,lagaataar mil rahi apni nakamyabi ko inhone aisa chakma diya ki aaj ye insan us mukaam par pahuch gaye hai,jis mukaam par duniya inhe salaam karti hai aur duniya ka har insan inhe aaj jaanta hai.

NAWAZUDDIN SIDDIQUI BIOGRAPHY IN HINDI

ye up ke mujjfar nagar ke ek chhote se gaav se hai,inke parivaar me ye 9 bhai behan the,inme ye sabse bade the,ye chahte toh kheti kar sakte the kyoki gaav par inke father ek jamindaar the,par shuru se hi inhe acting kaa bhoot savaar tha,woh gaav me kheti nahi karna chahte the isliye doosre shehar bsc karne chale gaye,phir bsc karne ke baad woh gujraat gaye waha ke ek natak se woh itna prbhavit hue ki unhone acting karne ka fesla liya tab woh acting seekhne ke liye delhi aa gaye.
delhi me unhone acting seekhne ke liye nsd me admition liya,uske baad unhone chhote mote natak bhi kiye par baat nahi bani unki sthithi gambhir thi,woh apni family se money ki help lena nahi chahte the.
ek baar public toilet me unhe ek watchmen ki nokri ka parcha laga hua mila,unhone woh watchmen ki nokri join ki,woh subah 9 se 5 tak job karte aur sham ko acting karte,kuchh time baad unki aarthik stithi gamveer ho gayi unhone gaav jaane ka bhi socha par,sochha ki gaav jakar kya karunga.unhone socha chalo bhooka marna hai toh mumbai me acting ka sapna dekhte dekhte hi jeeyenge.
woh mumbai chale gaye,waha par woh bahut se director aur producer se mile lekin unko ye kehkar kaam nahi mila kyoki unme actor banne ka koi guna nahi hai,par unhone haar nahi maani,aakhir me unhe kaam mila hi nahi.
phir 2000 me aamir ki film sarfarosh me roll mila lekin sirf 40 second ka,lekin uske baad inki zindgi me andhera chhaa gaya,unhe kisi film me roll nahi milaa.
aakhir me 13 saal baad 2010 me peepli live movie me ek journalist ka roll mila,
kehte hai ki god jo bhi karta hai woh achchhe ke liye karta hai,iske baad inhone kabhi peechhe mudkar nahi dekha,
iske baad inhe
kahani,kick,talaash,bhaijaan jesi superhit movie me roll karne ka moka mila,ab inhe bharat me hi nahi world me jaana jaata hai
inse hame seekh milti hai ki life me kabhi haar nahi maanni chahiye,sabse pehle hame apne dil ki sunni chaahiye,ye chahte toh gaav jaakar kheti karke jeevan jeete par unke dil ko ye manjoor nahi tha,hame jeevan me inki tarah mushkile aati hai par ham unka saamna nahi karte hai,vastav me god hamari parikchha leta hai ki ham kamyaabi paane layak hai yaa nahi,abhi uthiye aur apna lakshya banaaiye aur ye yaad rakhiye ki jaruri nahi ki aapko kamyaabi mile,aapko mushkile milengi agar aap inki tarah mushkilo ka shaamna karne ki dam rakhte hai toh baada hai mera aap sab se aap jo bhi banna chahte hai,aapko aapke lakshy tak khud bhagvaan pahuchhyenge,kyoki aaj duniya me jiske paas naam hai,paisa hai,usne sabse jyada mushivato ka saamna kiya hai.
dosto agar aapko ye post “Nawazuddin Siddiqui Biography in Hindi” pasand aayi ho toh ise share jarur kare.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *