August 17, 2016
Mountain Man Dashrath Manjhi Life Story in Hindi
Mountain Man Dashrath Manjhi Life Story in Hindi
dashrath Manjhi Story in Hindi-my dear friends aaj ham aapko introduce karwane wale hai ek aise shaks se jisne apne Exploits se parvat ko bhi natmastak kar diya,ek akela insan kuchh nahi kar sakta lekin Dashrath Manjhi ne karname se ham sabko prerna dee hain ki akela insan chaahe toh woh namumkin ko bhi mumkin kar sakta hai,ye ek ese mahaan insan hain,jinke hoslo ki taarif log tab tak karenge jab tak ye duniya rahegi.
image source http://english.pradesh18.com/
Shuruaati jeevan
dashrath manjhi ka janm 1934 me gehloar village me hua tha,ye bachpan me apne ghar,apni family se
door rehne chale aaye the aur koyelo ki khano me kaam kiya.ye bahut hi pichhle huye ilaake se aate the aur dalit jaati se the,ye jis gaav me rehte the waha se doosre kasve me jaane ke liye ek poora pahaad paar karna padta tha,inke gaav me bijli nahi thi,naa paani ki vyavasta thi,inki shadi falguni devi se hui,ye apni life me bahut khush the.
door rehne chale aaye the aur koyelo ki khano me kaam kiya.ye bahut hi pichhle huye ilaake se aate the aur dalit jaati se the,ye jis gaav me rehte the waha se doosre kasve me jaane ke liye ek poora pahaad paar karna padta tha,inke gaav me bijli nahi thi,naa paani ki vyavasta thi,inki shadi falguni devi se hui,ye apni life me bahut khush the.
Wife death aur unka decision
ye hamesha parvat ke kinare par kaam karte rahte the,ek baar aise hi ye parvat ke kinaare kuchh kaam kar rahe the tab inki patni inhe khana dene aa rahi thi,tabhi parvat ki ek darar me girkar inki patni ki mot ho gayi,kaha jaata hai ki inki wife ki mot uchit treatment na mil paane ke kaaran huyi,kyoki market bahut door tha,jab inki patni ki mot hui tabhi inhone fesla kiya ki mai is parvat ko beech me se cheer doonga kyoki gaav walo ko chhoti moti jarurto ko poora karne ke liye parvat ke doosri taraf doosre kasve me jaana padta tha.unke is vichar ko sunkar gaavwale inka mazaak udaane lage aur inhe pagal tak kehne lage lekin ye apne hoslo se peechhe nahi hate.
“jyadatar log kisi ke kuchh kahne yaa mazak udaane par apna rasta badal dete hain lekin
unhone apni soch se logo ke liye hi ek rasta bana diya”
unhone apni soch se logo ke liye hi ek rasta bana diya”
The result of decisions
inhone parvat ko cheerne ki kaafi koshish ki lekin ye kaafi mushkil tha lekin dashrath manjhi man me sirf ek hi baat bethi huyi thi ki main is parvat ko cheer kar hi rahunga chaahe kuchh bhi ho jaaye,phir aakhir unhone ek aisa kaam kar hi diya jo kar paana bahut saare logo ke liye bhi kaafi mushkil tha. 22 saal me inhone parvat ko aakhir cheer hi diya.inhone jis parvat ko cheera woh 360 fut lamba,25 fut gehra aur 30 fut choda tha,is akele insan ne sirf apne chheni aur hatode se woh kar dikhaya jo ek tarah se namumkin tha.jis vyakti ko logo ne pagal kaha usne logo ko dikha hi diya ki akela insan kya kya kar sakta hai,ham sabko dashrath manjhi se kuchh baatien seekhno ko milti hai.
Shiksha
[1]apne aap ko kamjor kabhi bhi naa samjhe,akela insan sab kuchh kar sakta hai.
[2]duniya me impossível kuchh bhi nahi hai,ham chaahe toh apni koshish se impossivel ko bhi possivel me badal sakte hain.
[3]agar aap kuchh achchha karoge toh ho sakta hai ki log aapse pagal kahe lekin aapko apne lakshya ko dekhte huye aage badna hai.agar aap logo ki sunoge toh aap life me kuchh bhi nahi kar sakoge,kyoki log toh aapke dwara kiye gaye har kaam par objection toh uthayenge hi.
[4]kamyabi paane ke liye hame paciência rakhna hoga aur lagaataar koshish karna hogi.
agar aapko hamari ye post “Mountain Man Dashrath Manjhi Life Story in Hindi” pasand aaye toh ise share jarur kare
in articles ko bhi padiye- महिला लोको पायेलेट की नक्सली इलाके तक train चलने की कहानी