Motivational Stories For Network Marketing(MLM) in Hindi-Ravindra Raghuwanshi

Motivational Stories For Network Marketing(MLM) in Hindi

dosto aaj ki hamari ye post “Motivational Stories For Network Marketing(MLM) in Hindi” dekha jaaye toh sirf network marketing businessman ke liye hi nahi balki har us insan ke liye important hai jo apni life me kuchh karna chahte hai,jo apni life ko badalna chahte hai,ye ek aise insan ki story hai jinki age bahut hi kam hai lekin unke karname kuchh aise hai ki mai unki jyada tareef bhi nahi kar paaunga,woh mere bhi guru hai,jinka naam hai mr.ravindra raghuwanshi ji(raviraj raghuwanshi).aaj se kuchh time pehle ye ek hamari hi tarah sadharan insan hi the lekin inki soch ke jaadu se aaj ye itne aage hai ki mai inke bare me batane me apne aap ko kaavil nahi samajhta
chaliye padte hai “Motivational Stories For Network Marketing(MLM) in Hindi” jo aapki life me bahut jyada parivartan laa sakti hai.

 

shuruaati jeevan-

ye hinotiya gao ke rehne wale hai lekin shuru se hi inhone guna(m.p.)me study ki hai.
12th complete karne ke baad inhone BCA kiya aur 4th semester me ye university ke topper rahe lekin jese hi inhone 4th semester complete kiya toh inki zindgi me ek esa sunehra moka aaya ki ye insan aam se khaas insan ban gaye.
is article ko bhi pade-Network Marketing Success Stories in hindi-Sanjay Dhiman

inhe inke ek friend ne ek jabardast network marketting bussiness(direct selling business) m/s dewsoft overseas PVT. LTD. ke baare me bataya toh ye sab kuchh bhool gaye aur is business ki shuruaat ki,unhone is business me apna carreer najar aane laga.

struggle in network marketing

lekin kehte hai agar zindgi me badi kamyabi chahiye toh badi haar bhi sahan karna padegi.
inhone kaafi dosto se is business ke baare me baat ki but koi bhi unki baat se shayamat nahi hua,
aakhir phir bhi inhone haar nahi maani,ye10 month baad business karne ke liye other city chale gaye aur waha bhi inhone kaafi mehnat ki lekin haath kuchh bhi naa laga,ek time esa bhi tha ki inhone other city me 3 din me sirf 3 samose kha kar apni zindgi ji,lekin ye abhi bhi maayoosh nahi huye,kyoki inka jo bhi dreams tha woh inka peechha kar raha tha.

inke other city me kuchh business partner bhi bane lekin ek ek karke sabhi saath chhod gaye,aakhir me 6 month baad ye apne shahar guna vaapis aa gaye,inhone guna me phir se shuruaat ki,lagbhag bussiness ko join kiye 18 month ke baad inke saath keval 29 log the.

success in network marketing business in hindi

ravindra ragh. sir ne apne business partners ke saath guna city me aisa tahalka machaya ki jis insan ne pehle 17 month tak jis bussiness se 1 rupye bhi naa kamaya ho,woh insan agle 8 month me apne 1000 business partners ke saath inhone apne business me lagbhag 6 laakh rupye kamaye.

aur aaj inki value itni hai ki log bahar se ravindra sir ko special training lagane ke liye aamantrit karte hai.aaj inko kuchh work karne ki jarurat nahi padti,inhe sirf 1 month me 1 baare training lagane ki jarurat hoti hain.
aaj inhone BCA complete kar liya hai,inke bussiness me something 5000 se jyada associate kaam karte hai,ye NSS me top senior commandar bhi reh chuke hai.
toh dekha dosto kese ek aam insan ek khaas insan ban jaata hai

last words

“ye jaha par bhi jaate hai pahuchte baad me hai lekin inke liye phoolo ki maalaye pehle taiyaar ho jaati hai,aaj logo ke paas 60 saal ki umra ke baad bhi nahi hota lekin 24 saal ki umra me inke paas samaaj me mehtvta(ijjat,maansamman,position,samaaj me prtistha)hai”

ravindra sir ko mai apni aur se dher saari badhaaiya deta hu aur bas ek hi aasha rakhta hu ki inka aashirwaad mere sar par hamesha rahe.
agar aap sabhi logo ko ye post “Motivational Stories For Network Marketing(MLM) in Hindi” pasand aaye toh hamari post email par seedhe paane ke liye hame subscribe kare aur fb page like karna naa bhoole
One Comment

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *