Manoj bhargava billions in change मनोज भार्गव एक सन्यासी जो अरबपति बन गया
Manoj bhargava billions in change-manoj bhargav ek esa naam jo duniya ko badal sakta hai inke project jinse duniya me changes aa sakte hai,inki kahani bahut hi interesting hai,ye america ke richest indian hai jo kabhi bharat me sanyaasi ki tarah rehte the.
inka janm 1952 me lucknow me hua tha.jab woh 14 saal ke the toh unka poora parivar amerika chala gaya,unhone waha school ki shiksha poori ki,schooling poori karne ke baad unhe duniya ki sabse achchhi universities me dakhila mil gaya.
par university me 1 saal padne ke baad unhe laga ki padaai se kuchh fayeda nahi hai kyoki unhone dekha ki aaj duniya ke sabse amir students bhi aaj pareshan hi rehte hai,isliye unhone apne college ki shiksha beech me hi chhod dee.phir woh bharat aa gaye aur woh bharat me adhyaatm ki aur mud gaye.
inke baare me bhi padiye-रजनीकांत “life story of rajnikanth in hindi” प्रथ्वीराज कपूर की जीवनी
manoj bhargav ji ne 12 saal tak bharat ke matho me ek sanyaasi ki tarah jeevan vyateet kiya,is beech woh kabhi kabhi amerika bhi jaate rehte the,aur unhone jeevan ka anubhav lene ke liye taxi chalaayi,patthar uthane jese kaam kiye.
kuchh time baad woh hamesha ke liye amerika chale gaye,aur waha par unhone ek company banayi yaa ho sakta ye company unki family pehle se run kar rahi ho,ye comfirm nahi hai,unhone apni kadi mehanat se company ko $20 million ki company me badal diya. isi beech inhone kai aur company bhi banayi.
ek baar manoj bhargav ji kahi par gaye huye the toh woh tire ho chuke the toh unhone ek drink pee li.toh woh hairaan ho gaye ki us drink se woh 8 ghante tak taro taaza mehsoos kar rahe the toh unhone socha ki ye bahut hi shandaar hai mai is tarah ki drink bech sakta hu.
phir 1 month me inhone ek formule ko taiyaar kiya jiska naam rakha 5-hour Energy . amerika me ye kaafi famous hua aur dekhte dekhte ye sabse jyada piya jane wala drink ban gaya,manoj aaj arabpati hai,kaafi log sochenge ki woh itne arvo rupye ka kya karenge toh mai aapko batadu woh apna 99% paisa charity ko denge.
ek baar jab unse poochha gaya ki aap poora paisa charity ko denge toh aapke bete ka kya hoga toh manoj ji answer dete hai ki mai apne bete ko paise dekar mai use barbaad nahi karna chahta jab mera beta 10 saal ka tha toh maine usse keh diya tha ki tumhe mujhse kuchh nahi milne wala toh bete ne kaha ki mai khud kama loonga.
manoj ji apna paisa NGO ke dwara charity ko dete hai,unka kehna hai ki 10 saal me 5000 crore rupye charity me lagaya jayega.