Facebook par fake id ka pata kaise kare
facebook par sabse jyada fake account hai,kuchh ladke,ladkiya bankar logo ko bevkoof banaate hai,itna hi nahi kuchh log toh apne khaas dosto ko ladkiya bankar bevkoof banaate hai,pata nahi is tarah se logo ko kya maza aata hai,kabhi kabhi ham nahi samajh paate ki aakhir jisse me chat kar raha hu woh fake account hai yaa real account.
Isliye aaj ki hamari ye post khaaskar aise logo ke liye hi hai jo fake id ko pehchaanna chahte hai,aaj ki post me ham aapko bataane wale hai ki fb ka fake account aap kaise pehchaan sakte hai,kuchh aise tarike jin par aapne dhayaan diya toh waqai me aap fake account pehchaan sakte hai.
more friends
Agar aapko kisi ki id fake lagti hai toh aap uski friends list check keejiye,agar uski friends list me kaafi jyada friends hai toh ye samajha jaa sakta hai ki ye fb id fake ho sakti hai kyoki jyadatar log limit me hi friends banaate hai.jyadatar jo fake log hote hai woh kisi ko bhi friend request send kar dete hai aur kisi bhi vyakti ko apni friends list me shaamil kar lete hai,aise jyadatar log fake hote hai.
School address family aur family ke baare me check kare
school address aur family ke baare me check kare
agar koi fb id fake hai toh usme aapko school address aur family ki jaankaari nahi milegi.ye jarur check kare ki us vyakti ka school ke baare me jaankaari uske account me hai yaa nahi,aur sath me check kare ki family ki jaankaari dee gayi hai yaa nahi.
agar aapko fb id fake hai yaa nahi check karna hai toh aap uske school address aur family ki jaankaari check jarur kare.
birthday date aur mobile no. check kare
Agar kisi ki id fake ohai toh uski birthday date jyadatar ek si hoti hai jaise ki 01-01-1990 aur usme mobile number nahi dalaa hoga aur agar mobile dalaa bhi hoga toh woh band yaa galat hoga.
Toh dosto aap in baato se aasaani se andaaja laga sakte hai ki kisi vyakti ki id fake hai yaa real.
different photo of the person
Agar aapko kisi account me kisika ek hi photo dikhaayi de toh ye jarur hi fake ho sakta hai,yaa phir alag alag vyakti ke bahut saare photo aapko dikhe toh ye kaafi had tak maana jaa sakta hai ki ye ek fake id hai kyoki koi bhi real person apni id par alag alag logo ke photo kyo lagayega.
facebook timeline check kare
Agar aapko kisi vyakti ki id fake lagti hai toh aap uski timeline check kare ki usne timeline kab aur kya likha hai agar woh vyakti lambe time tak facebook nahi chalaata toh ham samajh sakte hai ki ye ek fake id hai aur sath me aap timeline me check kare ki usne kisi post me comment kiya hai yaa nahi yaa phir check kare ki woh apne dosto or check kare ki woh apne dosto ko reply deta hai yaa nahi.isse aapko kaafi had tak samajhne me madad milegi ki ye fb id fake hai yaa real
kisi ka facebook page ya group join na karna
Aapko jiski id fake lag rahi hai,aap uski fb id check kar sakte hai ki usne koi fb page like kiya hai yaa nahi,usne koi group join kiya hai nahi,agar usne page bhi like nahi kiya aur group bhi join nahi kiya hai toh ye kaafi had tak fb id fake ho sakti hai.
Dosto agar aapko kisi bhi vyakti ki fb id fake lag rahi hai toh aap yaha par bataai huyi har baat ko dhyaan se pade aur un baato ko us fake id me dekhe aur yadi yaha par bataai huyi jyadatar baate us id me aapko milti hai toh ye pakka hai ki woh id fake ho sakti hai.