Dhirubhai Ambani Life History in Hindi
Dhirubhai Ambani Life History in Hindi
Dosto aaj ki hamari ye post “Dhirubhai Ambani Life History&Story in Hindi” hamko ek prerna dene wali story hain.dhirubhai ambani ek aisa naam jisne prove kar diya ki agar sapne dekhne ki himmat ho aur josh,junoon ke saath kaam kiya jaaye toh duniya me sab kuchh kiya jaa sakta hai,dosto aaj dhirubhai ambani har us insan ke liye ek prernadayak hain jo apni life me ek middle class family se uthkar kuchh special banna chahte hain,aaj ye ek brand hain,inka naam log sadiyo tak nahi bhool paayenge kyoki inhone jo kar dikhaya hain,woh har insan nahi kar sakta aur hamare beech me ek aisi pahchaan banake gaye hain ki jab bhi log success ke baare me baat karte hain dhirubhai ambani ka naam jarur lete hain,main khud ek businessman hu,main apne har ek business partner ko inke baare me jarur batata hu,toh chaliye ab ham jaante hain inki success story ke baare me.
Early life-
inka janm 28 december 1932 ko gujrat ke joonaagad me hua tha,inke pita ka naam heeralal ambani tha.jyadatar log bachpan me school me education karte hai lekin ye apne bachpan me barmaashel company me job karte the,inke pita kehte the ki beta sapne mat dekha kar.
lekin barmashel company me job karte time inhone ek esi hi company kholne ka sapna dekh liya.
jab ye 17 saal ke huye toh petrol pump par nokri kiya karte the,inhone ye bhi socha ki aaj mai is petrol pump par nokri karta hu,aage mai ese hi petrol pump ka maalik banunga.
ye bhi padiye dhirubhai ambani ji ke anomol vichar
Business ki shuruaat-
dosto dhirubhai ambani ko unki isi thinking ne aaj bahut aage pahuchaya hain,aur huya bhi kuchh esa hi,unhone apne sapne ko poora karne ka iraada kar liya,aur mumbai me jaha par woh rehte the ek office khola,inhone apni company ki shuruaat ek chhote se office se ki,jiske pichhle wale bhaag me woh rehte the aur aage ke room me inka office tha.
inhone 1966 me kapde ki meel kholi,1977 me khud ke liye pehli baar market me share bech kar paisa khada kiya.
inhone kaafi struggle karke aakhir apni khud ki company khol hi li aur ek aasmaan ki oochaaiyo tak pahuchne ki koshish karne lage.
Success in business-
dheerubhai ambani ji ne apni mehnat ke dam par aakhir apni company ko ek aise mukaam par pahucha hi diya,jaha tak ke woh sapne dekhte the,woh kehte the ki mere papa kehte the ki “beta sapne mat dekh,ye kabhi poore nahi hote lekin mene toh sapna bhi dekha aur use poora bhi kiya”
dosto jab woh shuruaat me mumbai me the toh unke paas paise nahi the lekin aaj unke paas itna paisa hain ki aaj ki taarikh me reliance duniya ki bahut badi company hain,aaj unke struggle se unke bachcho ke paas itna paisa hain,ki woh chaahe toh poori ki poori mumbai khareed sakte hain.
aaj ham jo reliance ki sim use karte hain,woh unki hi den hain,unke business ke badolat aaj unke bachcho ke paas itni money hain ki woh chaahe toh kaam bhi naa kare toh bhi woh sadiyo tak aisho aaram se rah sakte hain.mumbai me unka ek bahut bada bangla hain.
Death-
actually 1986 me ek hafte ke liye kome ki sthiti me the,kaafi doctors ne inka treatment kiya aur pahale sadme se toh ye bach gaye lekin doosra sadma inko 2002 me huya aur hirdya vikaar ki wajah se inki death ho gayi.
jab inki maot huyi thi,toh inke antim sanskaar me kaafi saare businessman,badi badi hasthiyo ne toh bhaag liya hi tha,sath me aam logo ne bhi isme bhaag liya aur sath me ek din ke liye market band karne ka nirnay liya gaya.kaafi logo ko inki maot se dukh huya kyoki aise mahan insan duniya me baar baar janm nahi lete.
ye bhi pade-jackie-shroff-biography-in-hindi amitabh-bachchan-life-story-in-hindi
aaj ye bhalehi hamare beech me nahi hain lekin ye insan ese logo ke liye ek seekh dete huye gaye hai ki sapne dekho,agar aapme khuli aankho se sapne dekhne ka dam hai toh woh sapne aap poora jarur kar loge.
agar aapko ye post “dhirubhai ambani life history & story in hindi” achchhi lage toh ise share jarur karna.aur hamara fb page like karna naa bhoole.
Related Posts

दिव्या भारती की जीवनी divya bharti biography in hindi

आज की अदालत के रजत शर्मा की जीवनी Rajat sharma biography in hindi

thanx vishal chopra ji