Blogger Site par Free Online Live Chat Widget Add kaise kare-Website or Blog ke liye
Website or blog par live chat widget add karne ke benefits-
Dosto chating widget hamare blog or website par lagane se hame kafi sare fayede hote hai,kuchh log shuru se hi logo se apni website ke dwara hamesha connect bane rahna chahte hai kyoki iske jariye aap aur bhi jyada logo ki madad kar sakte hai,toh chaliye jante hai iske kuchh fayedo ke bare me
(1)ham apne blog ke visiter se online chatting karke unki jyada se jyada madad kar sakte hai,unse online raye le sakte hai ya de sakte hain,jisse hamari bhi kuchh madad ho sakti hai aur sath me hamare visitor ki bhi live madad ham kar sakte hain.
(2)ham chatting karke logo ko apna kuchh bhi saman sell kar sakte hai,jisse dusre logo ko bhi fayeda hoga aur sath me hamri bhi income ho sakti hai.
(3)ham iske jariye domain yaa koi software ke bare me logo ko jankari de sakte hain.aur use sell bhi kar sakte hain.kyoki ham jab online ke dwara hamare visitor se baat karenge toh unhe ham par vishvas hoga aur log jyada se jyada kuchh khareed sakte hain.
(4)ham apne visiter ke har ek question ka answer online chatting karke de sakte hain,jisse unki madad hogi aur woh jyada se jyada hamari website par aayenge.
(5)ham kisi bhi vyakti se chatting kar sakte hain,chatting karne walo ka is chatting wali website ya software me register hona jaruri nahi hain,jisse woh bina time barbad kiye hamse aasani se chat kar sakte hai aur hamse online solution le sakte hain.
toh chaliye ab jante hai ki apne blogger par free online live chat widge add kaise kare
Website or blog par free online live chat widget add kaise karte hai-
step 1
sabse pahle aap https://www.tawk.to/ go on kare
phir sign up kare,yaha par sign up karna free hain
step 2
ab sign in par click karke apni email id aur password dale aur sign in kar de
ab hamko chating wala widget apne blog yaa website par lagana hai
iske liye hamko widget code ko copy karna hoga
step 3
widget code ko copy karne ke liye aap www.tawk.to website par login karne ke baad admin par click kare aur phir widget code ko copy kare,jaise ki neeche is screenshot me dikhaya gaya hain
step 4
step 6
step 7
aapko aapke blog par ek chatting widget nazar aayega,jab bhi koi visitor usme kuchh message likega aur ok karega toh aapke laptop yaa computer me ring bajne lagegi,aap use accept kare aur logo se chatting kare.
lekin iske liye aapko internet ke dwara tawk.to par login karna hoga aur us website par online hona hoga kyoki aap usi website ke dwara hi apne visitor se chat kar payenge.
Is tarah se aap logo se apni website yaa blog ke jariye online chatting kar sakte hain.
dosto agar aapko hamara ye article Blogger site par free online live chat widget add kaise kare-website or blog ke liye pasand aaya ho toh ise share jarur kare aur hamara facebook page like karna naa bhoole.
BAHUT HI ACHHI POST HAI. SIR USEFUL WORKING TRICKS AAPNE DIYA BAHUT BAHUT THANKS
thanks bolne ki jarurat nahi hai,dusro ki madad karna toh mera kaam hi hai
आपसे amp theme की कुछ जानकारी चाहिए
1. क्या ब्लॉगर ब्लॉग पे amp template use करना अच्छा है
2 non amp theme मे जितने विजेट वर्क करता है वो इसमें वर्क करेगा जैसे live chat widget messanger widget etc..
3. Amp template adsense friendly होता है इसे यूज़ करने से adsense के rule के खिलाफ तो नहीं है न
हमने कभी भी amp theme use नही किया है इसलिए इस बारे में हमे कोई जानकारी नही है।
Ok sir कोई बात नहीं