Blog post ko schedule karke automatic publish kaise kare

Friends kaise hai aap sabhi,dosto aaj ki hamari post hai blogger ki blog post ko schedule karke automatic publish set kaise kare.aaj ka hamara ye blog schedule ideas aapke bahut hi kaam ka hai.hamne kuchh time pahle apni pichhli post me bataya tha ki website aur blog kaise banate hai,bahut sare logo ne ise pada tha,aur kuchh logo ne jarur hi apna blog or website banana shuru bhi kar diya hoga,aaj hamari ye post bahut hi khaas hai aur isse ham blogging ko aur bhi behtar bana sakte hai.

Actually blogging agar daily aur time par ki jaye toh bahut hi achchha hota hai lekin kisi kaaran bas ham kabhi kabhi apni post time par update nahi kar pate hai toh ye hamare blog ke liye thoda achchha nahi hai,isliye aaj ki hamari post me ham aapko batane wale hai ki blog ki post ko schedule kaise karte hai aur kaise apni blogging ko aur behtar tareeke se kare.

Blog post schedule  kya hai

Blog post schedule blogger dwara dee gayi ek aisi seva hai jiske jariye ham apni blog post ko apne hisaab se kisi bhi time par update kar sakte hai,aur apne visitor ko lagatar apne blog par lane ke liye aakarsit kar sakte hai.

Kuchh log sochte honge ki kya ye daily daily post karo,kyo naa ek hi din me post karde toh mai aapko batadu ki ek hi din me jyada post karne se jyada fayeda nahi hoga kyoki aapke visitor toh sirf shuru ki 2 yaa 3 post hi padte hai.

Isliye aap bhi apni post ko agle din yaa phir kuchh dino baad bhi post sedhule karke use us time par update kar sakte hai.

Blog post schedule important kyo hai

Dosto schedule karne ke bare me batane se pahle ham aapko batayenge ki blog post schedule kyo important hai,toh chaliye jante hai

Kabhi kabhi ham bahut bussy hote hai toh ham apne blog ko sahi time par update nahi kar pate hai,iske jariye Ham hamare blog ko right time par update kar sakte hai jisse hamare visitor khush hote hai aur yahi toh ham chahte hai.

Agar ham kuchh dino ke liye bussy hai toh ham blog ki post ko schedule kar sakte hai jisse hame bahut fayeda hoga aur hamare blog par update hota rahega.

Aap chaahte ho ki kyo naa ek hi din me 10 din yaa phir 1 month ka work complete ho jaye toh kitna achchha ho toh blogger post sedhule aapke liye bahut important hai.

Isi ke sath me agar hamko pata ho ki hamare blog par visitor jyada kab aate hai toh ham usi time par blog ki post ko update karke hamare traffic ko increase kar sakte hai.

Dosto is tarah se ham blog post schedule se labh le sakte hai,ab ham jante hai ki blog post ko sedhule kaise kare.

Blog post ko schedule kaise kare

Dosto blog ki post schedule karna koi difficult kaam nahi hai,ye bahut hi saral hai,blogger post ka time sedhule karne ke liye sabse pahle aap apne blogger ko open karo aur phir aap jo bhi post likhna chahe use likhe.

Aap dekh rahe hai ki text box ke paas yaani right me bahut sari post setting ke option hai,wahi neeche schedule wala option hai,aap us par click kare aur phir set date and time par click kare

phir post schedule ka time set karde lekin time schedule set karne se pahle neeche ka article jarur pade,agar iske bager aap time schedule karoge toh post sahi time par publish nahi ho payegi.

Time-

Isme time hamare india ka nahi hai isliye is time ko samajh le phir post schedule kare,hamare india me raat 12 baje ke baad se agli date shuru hoti hai lekin isme subah 11.30 se agli date ki shuruaat hoti hai.

For example-agar aapko raat ke 2 baje post schedule karni ho toh aap date pichhle din ki set keejiye aur time 13.30 min. set kare

Aur agar aapko dophar 2 baje post schedule  karni ho toh aap usi din ki date set kare aur time 1.30 min. set kare.

Is tarah se aap blogger.com ke time schedule ke bare me toh samajh hi gaye honge.

Chaliye ab aage jante hai,time set karne ke liye sabse pahle aap year select kare phir date select kare phir time select kare

time set karne ke baad aapko jyada kuchh nahi karna hai,aapko bas save par click karna hai phir publish par click karde.

Congratulations aapki post schedule ho chuki hai.

Dosto is tarah se aap apni post ka time set karke apne visitor ko apne blog par aane ke liye aur bhi jyada prabhit kar sakte ho aur apne blog par jyada se jyada visitor paa sakte ho aur sath me apne blogging career ko successful bana sakte ho.

Dosto hame comments ke jariye bataiye ki hamari ye post aapko kaisi lagi aur hamara facebook page like karna naa bhoole,aur hamari new post update seedhe aapke paas mail par aane ke liye hame subscribe karna naa bhoole.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *