bheem ki seekh Inspirational story in hindi

aapne chhota bheem ki kahani toh bahut suni hongi lekin aaj ham aapke liye laaye hai bada bheem ki shiksha dene wali ek kahani,ye kahani hai mahabharat ke baad ki jab yudhisthir apne rajya singhasan par viraajmaan the tabhi ek rishi se kuchh dusto ne uski gaaye chheen li thi.toh woh rishi raja yadhisthir ke paas aaye aur sabha ke beech upasthit hokar kehne lage ki maharaj raksha kare.tab raja yadhisthir mantriyo se kuchh baat kar rahe the tab unhone rishi se kuchh time tak bahar intjaar karne ke liye kaha tab woh rishi bahar intjaar karne ke liye chale gaye.

kaafi time intjaar karte karte ho gaye tab jese hi raja yudhisthir apne mantriyo se baatchit karke nipte tab unse milne ke liye ek doot aa gaya toh woh doot se baatchit karne lage.
rishi darvaar ke bahar maharaj ka intjaar kar rahe the.dophar se sham ho gaya toh jese hi woh doot sabha se gaye toh maharaaj bahut tire ho chuke the.
unhone vishraam karne ka fesla liya,yudhisthir bahaar aaye aur rishi se bole ki mai aapse chhama chahta hu ki aaj aapki baat nahi sun paaunga kyoki mai bahut thak chuka hu,aap kal darwar me aaye aur apni baat rakhe.
itna kehkar raja waha se nikal gaye,rishi ke peechhe bheem khade huye the unhone rishi se poochha ki kya baat hai toh rishi bole ki meri gaaye dust logo ne mujhse chheen li hai,iske liye mai raja se sikaayat karne ke liye aaya tha toh raja bole ki aap kal aana.

itna sunkar bheem ko dukh hua aur unhone waha par upasthit darwari se bola ki jaao aur jeet ka nagada baja diya jaaye tab darvaari ne jeet ka nagada bajwa diya.
jab raja yudhisthir ne ye suna ki jeet ka nagada baj raha hai toh woh bahar aaye aur bheem se kehne lage ki bheem ye jeet ka nagada kyo baj raha hai,kya hamne koi jeet haasil ki hai? ,toh bheem bole ki haa,aapne kaal par jeet haasil ki hai.
toh yudhisthir bole ki kaal par jeet matlab,toh bheem bole ki aapne is rishi se kaha hai ki aap kal aana matlab ye hai ki aapko pata hai ki aaj aapko kuchh nahi hoga,aap kal tak jeevit rahenge matlab aapne kaal par vijay haasil kar li hai isliye toh aapne is rishi se kaha ki kal aana. itna sunkar yudhisthir ji bheem ki baat samajh cuke the,unhe apni galti par pachchhatav hua aur unhone rishi ki baat suni.

toh dosto kabhi bhi hamko koi si bhi baat kal ke liye nahi taalni chahiye kyoki jaruri nahi ki kal aaye. isliye kal ka kaam aaj hi kare kal par naa chhode.
agar aapko ye post pasand aaye toh ise share jarur kare.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *