Sardar Bhagat Singh Life History in Hindi”

Sardar Bhagat Singh Life History&Biography in Hindi

mere pyare dosto www.mehtvta.com ki aur se aap sabhi ko independence day bahut bahut mubaarak,dosto aaj ke is khaas maoke par mai kamlesh kushwah aap sabhi ke liye laaya hu “Sardar Bhagat Singh Life History in Hindi” jinhe aaj bachcha bachcha jaanta hain,aaj ham swatantra hain,isme inka bahut bada yogdaan hain,toh chaliye padte hain “Bhagat Singh Life History in Hindi

bhagat singh Early life

bhagat singh ji ka janm 1907 ko panjab me bavli gaav me huya tha,jo ab pakistan me hain,inke 5 bhai aur 3 bahne thi,jab inke pita ji jail me the tabhi inka janm huya tha,inhone apni school ki shiksha dayanand englo vaidik high school se ki thi,ye bachpan se hi angrejo ki kroorta ko dekhte aa rahe the,inhe bachpan se hi un par bahut gussa aata tha,

jab ye 12 saal ke the tabhi inhone jaliya wala bag me agrejo ki kroorta ko dekha,inhe bahut dukh huya,angrejo ne is jaliya wala bag me chaaro taraf laashe hi laashe bisaa di thi,bhagat singh ji ke man me ye sab dekhkar angrejo ke prati bahut hi aakrosh paida huya.

bhagat singh ji ki bachpan ki rochak baate

(1)ek din bhagatsingh ji apne ghar me tinke rop rahe the toh unke pita kishan singh ji ne poochha ki tum ye kya kar rahe ho tab bhagat singh ji bole ki ped uga raha hu.

tab unke pita ne kaha ki kis cheej ka ped uga rahe ho,toh bhagat singh ji bole ki bandook ka ped.

(2)bhagat singh ji ki shuru se ikchha thi ki mai desh ko aajaad karaau,ek baar ve apne pita ke saath lahor jaa rahe the tab unke pita ne poochha ki kya karte ho,tab bhagat singh ji bole ki mai bandook bechta hu,

is par unke pita bole ki kyo?

toh bhagat singh ji bole ki angrejo ko maarmaarkar is desh se bahaar nikalne ke liye, unke pita ne phir poochha ki tum konsa dharm maante ho toh bhagat singh ji bole ki “desh prem” unke pita phir bole ki jab tum bade ho jaoge toh kya karoge?

ve bole ki mai hargiz shadi nahi karunga,mai angrezo ko is desh se bahar khadelne ka kaam karunga.

The beginning of freedom

(1)jab ye lahor ke ek national college se ba kar rahe the tabhi se inke andar aajadi paane ka junoon sabhar ho gaya,tab inhone apni college ki education band karne ka nishchya kiya aur freedom pana apna ek sapna bana liya aur desh me freedom paane ke liye bahut se desh ke nojavano ke sath milkar is sapne ko poora karne ka nishchya kiya.

(2)1928 me bhagat singh ji ke ek sathi lala laaj patraye ki maot angrejo ke karan ho chuki thi,jiske karan bhagat singh ji ko bahut gussa aaya aur unhone skot ko marne ka nirnya liya lekin skot ki jagah unhe sondars dikha toh bhagat singh ji ne use maar daala aur apne sathi ki maot ka badla liya.

(3)bhagat singh ji ke sabhi sathiyo ko pata chala ki angrej gareeb,majdoor logo ke khilaaf ek majdoor virodhi bill parit kar rahi hain toh unhone iske khilaaf kuchh karne ka nirnya liya aur delhi me ho rahi angrejo ki ek bethak me bam faika gaya lekin bam fekne ka uddheshya kisi ko nuksan pahuchan nahi tha,bam savdhani poorvak khali jagah par feke gaye the aur kisi ko nuksan nahi pahuchaya.

saheed bhagat singh ji ko jail

saheed bhagat singh ji jab jail me the toh waha par unhe sahi se khana bhi nahi diya jata tha,aur waha asabachcha batabaran tha,woh jail ke logo ki halat ko dekhkar bahut dukhi huye aur unhone 2 month tak bhook haltal ki aur apni jid ke aage angrejo ko unki baat manna padi.

kuchh time baad bhagat singh aur unke sathi sukhdev ji ko 23 march 1931 ko shaam 7 bajkar 33 minute par faasi de di gayi,darahsal faasi nirdhaarit samay se pahle hi dee gayi thi.us samay in logo ki faasi ki khabar sunkar krantikaariyo me bahut jyada dukh tha,sath me unhe angrejo par gussa bhi tha ki aakhir ek desh bhakt ko faasi de dee gayi.

shiksha

Dosto bhagat singh ji ki kurbani ko ham sabko bekaar nahi jaane dena chahiye,ham sabko hamare desh se prem hona chahiye,aaj hindu,muslim jese dharmo me dange hote hain,sirf dharm alag alag hone ki wajah se,lekin mera manna hain ki agar koi dharm hona chahiye toh woh dharm desh prem hona chahiye,aur hame apni desh ki suraksha ke liye hamesha tatpar hona chahiye,yahi is mahan insan ki kurbani ki ek sikhaayi huyi baat hain.

Dosto hamari ye post “Sardar Bhagat Singh Life History&biography in Hindi” jarur share kare.

in article ko bhi padiye-narendra-modi-mann-ki-baat-on-phone-in hindi  मुसीबतो का सैलाव kfc-success-story-in-hindi  sandeep-maheshwari-biography-in-hindi

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *