अनुपम खेर की जीवनी Anupam kher biography in hindi

image source: https://commons.wikimedia.org/wiki/File:AnupamKher6.jpg

anupam kher biography in hindi-Dosto aaj ham aapko Anupam kher biography & life story in hindi ke bare me batane wale hai,woh ek aise mahan shaks hai jinhone actor kaise bane ke savaal ko suljha diya hai,ye ek aise insan hai jo pahle kuchh bhi nahi the lekin aaj jab ham inhe filmo me dekhte hai toh waqai me kaafi pasand karte hai kyoki ye chahe billan bane yaa comedian yaa lalchi baap yaa kuchh bhi bane,ye har kirdaar me bahut hi behtreen lagte hai,kyoki ye har kirdar ko itni achchhi tarah se karte hai ki ye us kirdar me poori tarah se kho jate hai,toh chaliye jante hai anupam kher biography in hindi jo aapko bahut kuchh sikhayegi.

Early & personal life

Anupam kher sanyukt parivar me rahte the,inke parivar me kul 9 sadasya the,inke papa ki aamdani kuchh theek nahi thee toh ghar ka kharcha badi mushkil se chalta tha,ek baar parivar ka kharcha chalane ke liye inki ma ne apne aabhusan bhi bech diye the,bachpan se hi ye apni teacher ki nakal utara karte the.

Inki shadi kiran kher se huyi,jo inki university me inki senior thee,kiran shadisuda thee lekin woh apni life me khush nahi thee,kuchh time baad inhone shadi karne ka faisla kiya aur shadi karli

Ek baar jab ye apne school ke dino me prithviraaj chauhaan ka kirdar nibha rahe the toh inke samne ek doodh wale ka ladka jo ki jaychand ka kirdar nibhata tha,prithviraaj chauhan bane anupam kher ne jaychand ki khoob pitaai lagai toh sabhi khoob taliya baja rahe the.

Lekin is baar woh ladka jo jaychand ka kirdaar nibha raha tha uske papa ne kaha ki agar is baar tu pit kar aaya toh ghar par mat aana is kaaran us doodhwale ke ladke ne prithviraj chauhan bane anupam kher ko sabke samne hi fek diya.

Anupam kher college life

Anupam kher ne graduation history se kiya,dosto college ke dino me unpar acting ka bhoot sabhar rahta tha,har koi unse prbhavit tha,har koi unse khush rahta tha,ek baar unhone acting seekhne ke liye news me ek vigyapan dekha toh un par acting seekhne ka bhoot sabhaar ho gaya,lekin acting seekhne ke liye unhe 100 rupyo ki jarurat thee,jo unke paas nahi the,woh apne ma baap se bhi paise nahi maang sakte the,isliye unhone acting seekhne ke liye apni ma ke mandir me se 100 rupye churaye the.

Anupam kher ki makan malkin ek dhovan thee,ye ek bahut hi rochak baat hai ki unka jo kiraye ke makan ka address tha,woh anupam kher ke naam par hi tha

Anupam kher Filmy career

Anupam kher ka filmy duniya tak ka safar kafi sangharsh poorna raha,bollywood me success hone ke liye inhone kaafi struggle kiya,aaj yaha par ham unke isi struggle aur unki kamyabi tak ki success story aap sabhi ko aage batane wale hain,toh chaliye aage ham inke filmy career ke bare me jante hain.

Rupyo ki kami

Jab anupam kher filmo ki duniya me struggle kar rahe the,tab unhe bahut si pareshaniyo ka samna karna pada,ek waqt aisa aaya ki unki aarthik sthiti bahut hi kamjor ho gayi,unke paise khatm ho rahe the,toh inhone apne bhai ko phone kiya jo us waqt ek factory me kaam kiya karte the,aur unki paise ki kami kuchh had tak khatm huyi aur woh bollywood me apne kadam jamane ke liye lagataar koshish kar rahe the.

Mahesh bhatt se mulakat

Ek din unki mulakat Mahesh bhatt se huyi,Mahesh bhatt anupam kher se kaafi impress huye aur Mahesh bhatt ne anupam kher ko apni film saransh me ek actor ki bhomika me kaam karne ka maoka diya,ye apni yaha tak mili success ko pakar kaafi khush the lekin jaise ki kahte hai ki kismet kabhi bhi badal sakti hai.

Ek dam se hi anupam kher ki life me ek bahut badi problem aa gayi,film ke directors ne kisi dusre ko film me lene ka nirnya liya toh anupam kher chillane lage ki Mahesh bhatt dhokhebaaz hai.

Phir Mahesh bhatt ne sabhi se kaha ki is film saransh me abhineta sirf anupam kher hi rahega,aakhir apni khathin mehnat se inhe apni life me kuchh karne ka maoka mil hi gaya.

Bollywood me kismat badli

Anupam kher ko film saaransh me kaam karne ka maoka mila,jo bahut hi behtreen tareeke se chali aur is film ne anupam kher ko ek bahut badi pahchan de di,aur iske baad bollywood me anupam kher ne peechhe mudkar nahi dekha,aur inke paas agle 10-15 dino me hi 100 filmo ke offer aa gaye aur inki kismat chamak gayi.

Amitabh bachchan se mulakat

Ek baar anupam kher kisi film ki shooting kar rahe the toh ac nahi chal raha tha toh ye bahar amitabh bachchan ji ke paas aaye aur inhone amitabh bachchan ji ko kambal ode dekha toh inhone amitabh bachchan ji se poochha ki garmi nahi lag rahi hai toh amitabh bachchan ji bole ki garmi ke bare me sochta hu toh lagti hain,agar nahi sochta hu toh nahi lagti,is baat se ye kaafi prbhavit huye,aur apne aap ko badalne ka socha.

Dosto aaj anupam kher bollywood ki janimani hasti hain aur har insan inko janta hai,waqai me inhone jo pad haasil kiya hai woh kabile tareef hai aur isi kaaran inhe ek nahi balki bahut sare award se namaja gaya hai aur ye sabhi logo ki nazar me ek sabse behtreen acting karne wale star hai,aaj inhone apni life me kamyabi hasil kar li hai.

Dosto agar aapko hamari ye post anupam kher biography in hindi pasand aaye toh ise share jarur kare aur hamara facebook page like karna naa bhoole aur hamari post biography of anupam kher in hindi aapke seedhe mail par pane ke liye hame subscribe kare.

Aur hame comments ke jariye bhi bataye ki aapko anupam kher life story & history in hindi kaisi lagi.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *