अमिताभ बच्चन जी की जीवनी Amitabh bachchan life story in hindi

amitabh bachchan life story in hindi

amitabh bachchan life story in hindi-hello friends kaise hai aap savi.aaj ham laye hai ek aise insan ke baare me jis insan ko bachcha bachcha jaanta hai,ek time esa tha ki unka jeevan bilkul saadhaaran tha,hamari ye post “amitabh bachchan life history & story in hindi” un logo ke liye kaafi mahatvpoorna hai jo apne jeevan ko badalna chahte hai.amitabh bachchan ji ka bachpan me name inklaab tha lekin abhineta banne ke baad inka name amitabh bachchan ho gaya.toh aaiye ab ham jaante hai “amitabh bachchan life history in hindi”

inka janm uttarpradesh ke ilahabaad me huya,inki pita ji ka naam harivanshraye bachchan tha,harivanshraaye bachchan ji ki 2 santaan thi jinme se ye sabse bade the,unhone double ma kiya tha phir unhone delhi me ek college me bhi admition liya tha,uske baad unhone bollywood me jaane ka feshla liya tha.inke naam ki tarah inhone bollywood me aisa kar dikhaya ki inke naam ka dipak kabhi bhi nahi bujhega.

shuruaat me jab woh bollywood me aaye toh unhe ye kehkar nikal diya gaya tha ki unki aawaj kharaav hai,lekin unhone haar nahi maani,unhone bollywood me kaafi movie banayi jo ki ausat rahi,phir 1973 ki ek movie se unhone bollywood me achchhi shuruaat ki phir 1975 me sholay movie ne duniya ke saare record tod diye.amitabh bachchan ji is movie ke liye aaj bhi jaane jaate hai kyoki is movie ne kaafi record banaye aur bahut saare paise kamaye.

amitabh bachchan ji ne sholay ke baad kuchh movie banayi jo achchhi chali,lekin kuchh time baad unki lagataar movie flop hoti gayi,unki lagataar 14 movie buri tarah se flop rahi phir inhone bollywood ko chhodne ka nirnay liya.

unhone raajniti me kaam kiya aur ujjain se chunav lade,lekin 3 saal baad politics ko hamesha ke liye chhod diya.

iske baad unhone kaafi movie banayi jese ham,lal badshah ye movie ausat hi rahi,isi beech unhone ek company kholi kisi bajah se woh chal naa saki,aur phir amitabh bachchan ji nuksan me chale gaye,nuksan se bachne ke liye unhone apna bangla bechne ka nirnya liya lekin government ne is par bhi rok lagaadi.

unki aarthik sthiti kharaav ho gayi

lekin 2000 me unko kaun banega karorpati serial me host banne ka maoka mila aur tab se inhone kabhi peechhe mudkar nahi dekha,uske baad amitabh bachchan name bachche bachche ki juvan par tha,woh poori duniya me superhit hero ke roop me bikhyaat huye unhone kaafi movie banayi jo achchhi chali.is tarah agar dekhaa jaaye toh har insan ke paas nakamyabi ke baad kamyabi paane ka maoka jarur aata hai jo ki amitabh bachchan ji ke paas bhi aaya tha.

dhayaan dene wali baat ye hai ki jis insan ko bollywood me se ye kehkar nikal diya tha ki unki aawaj bekaar hai ,aaj usi aawaj ke log deevane hai,aaj agar kisi movie me unki sirf aawaj sunayi jaaye toh log toh unki aawaj sunne ke liye hi movie dekhne aa jaate hai,unki aawaj ki aaj croro keemat hai,ese mahan insan ko mera salaam hai.

dosto agar aapko bhi jindgi me ek kamyaab vyakti banna hai toh aapko amitabh bachchan ji ke jeevan se kaafi kuchh seekhne ko milta hai,unhe praapt huyi baar baar asafaltaao ke baad bhi inhone haar nahi maani aur aisi kaamyaabi haasil ki jise paana kaafi mushkil hota hai.aaj amitabh bachchan ji ne jo mukaam haasil kiya hai,use chhoona kisi doosre actor ke liye kaafi mushkil hoga,isliye dosto hamesha mushkilo ka saamna karo aur duniya me kuchh aisa kar dikhaiye jisse aap duniya me kaabile taarif ho.

agar aapko hamari ye post pasand aayi ho toh ise share jarur kare.aur hamara facebook page like karna naa bhoole.

One Comment

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *