अच्छे लीडर के गुण Best Leadership qualities in hindi

Dosto aaj har insan ek safal insan banna chahta hai aur safal insane banne ke liye hame leader banna hoga kyoki ek safal insane ek achchha leader hota hai kyoki jo ek leader hota hai wohi ek safal insane ban sakta hai isliye sabse pehle toh ham sabko ye jaanne ki jarurat hai ki ek achchhe leader me kon kon se gun hote hai,jav hamko ye pata hog tabhi woh gun ham apne andar daal sakte hai toh chaliye jaante hain ki leader me kon kon se gun hote hai-

Best Leadership qualities in hindi
Best Leadership qualities in hindi

Best leadership qualities in hindi

(1)apni team ke logo ke bare me sochna-

Dosto ek achchha leader wahi hota hai jo apne team ke sadasyo ke bare me sochta hai kyoki jab insan doosro ke bare me sochta hai toh dusre bhi uske bare me sochte hai,is tarah se team ke log uski ijjat karte hai,ek leader hamesha sochta hai ki meri team ka hamesha achchha ho.leader hamesha team ke logo ke bhale ke bhale ke baare me sochta hain.

(2)Team ke sabhi logo ki sunna-

Ek achchha leader wahi hota hai jo team ke sabhi logo ki sunta hai,kuchh log toh aise hote hai jo apne aage kisi ki nahi sunte lekin ek safal leader sabhi logo ki sunta hai,aur team ka koi vyakti sahi raaye nahi deta toh use pyar se samjhata hain.

(3)apna kaam time par poora karna yaa time ka pavand hona

Ek achchhe leader me sabse badi quality yahi hoti hain ki woh apne time ka pavand hota hain,woh apna kaam time par poora karta hain,jab woh aisa karta hain toh uski team ke log bhi apna kaam time par poora karte hai aur is tarah se ek leader jindgi me safal ho paate hain.

(4)Team ke sabhi logo ko ijjat dena

Dosto ek leader hamesha apne team ke sabhi logo ko ijjat deta hain,chahe koi chhota ho yaa bada leader hamesha logo ki ijjat karta hain,jab woh sabhi ki ijjat karta hain toh sabhi uski bhi ijjat karte hain is tarah se ek leader apni zindgi me bhi ek success person ban paata hain.

(5)Soch samajhkar jaldi faisla lena

Dosto ek leader hamesha soch samajhkar jaldi nirnay yaa faisla leta hain,agar koi insan nirnay lene me jyada time lagata hain toh ye uske aatmvishvas ke kamjor hone ki nishani hota hain.isliye ek achchha leader wahi hota hain,jo soch samajhkar jaldi faisla leta ho.

(6)aankhen milakar vishvash ke sath baat karna

Dosto aankhen milaakar baat karne se hamesha vishvash jhalakta hain,isliye ek achchha leader aankhen milaakar poore vishvash ke sath baat karta hain.apni aankhen chhupaaiye mat balki aankhen milakar baat keejiye.

inhe bhi pade- सकारात्मक सोच पर निबंध Sakaratmak Soch Essay In Hindi

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *